Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School, Urdu Nazam By Riyaz Ahmad Qadri

Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Riyaz Ahmad Qadri. Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرتے ہیں مزدوری بچے جاتے نہیں اسکول

ریاض احمد قادری

کرتے ہیں مزدوری بچے جاتے نہیں اسکول

اس میں ان کی بھول نہیں ہے یہ ہے بڑوں کی بھول

ان کی حالت دیکھ کے دل سے نکلتی ہے اب ہائے

ننھے ہاتھوں سے گاہک کو جب وہ پلائیں چائے

مزدوری میں ان کا بچپن یوں ہی بیتا جائے

تازہ ہوا کی جگہ پہ وہ کھاتے ہیں گرد اور دھول

کرتے ہیں مزدوری بچے جاتے نہیں اسکول

ورکشاپ میں جاتے ہیں وہ کرنے کے لیے کام

کام میں ان کی صبحیں گزریں کام میں گزرے شام

ظالم دنیا دار ہیں ان کو دیتے تھوڑے دام

آج کی اس دنیا میں کب ہے کوئی یہ خوب اصول

کرتے ہیں مزدوری بچے جاتے نہیں اسکول

عمر ہے ان کی کھیلنے والی کھیلیں کہاں وہ جا کر

پانی پی کر جی لیتے ہیں اپنی بھوک مٹا کر

ہفتے بعد بھی سو دو سو کو خوش ہوتے ہیں پا کر

اپنی زیست گنوا دیتے ہیں مزدوری میں فضول

کرتے ہیں مزدوری بچے جاتے نہیں اسکول

بچوں کی مزدوری لعنت جرم یہ ایک بڑا ہے

اک ناسور ہے جو اپنی عزت کی رہ میں کھڑا ہے

کون ہے جو اس ظلم کو روکے جو ہر جا پہ پڑا ہے

بچوں کو مدرسے میں بھیجو مت دو بحث کو طول

ریاض احمد قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School

Riyaz Ahmad Qadri

karte hain mazduri bachche jate nahin school
is mein un ki bhul nahin hai ye hai baDon ki bhul
un ki haalat dekh ke dil se nikalti hai ab hae
nanhe hathon se gahak ko jab wo pilaen chae
mazduri mein un ka bachpan yunhi bita jae
taza hawa ki jagah pe wo khate hain gard aur dhul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
workshop mein jate hain wo karne ke liye kaam
kaam mein in ki subhen guzren kaam mein guzre sham
zalim duniya-dar hain in ko dete thoDe dam
aaj ki is duniya mein kab hai koi ye KHub usul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
umr hai in ki khelne wali khelen kahan wo ja kar
pani pi kar ji lete hain apni bhuk miTa kar
hafte ba'd bhi sau do-sau ko KHush hote hain pa kar
apni zist ganwa dete hain mazduri mein fuzul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
bachchon ki mazduri lanat jurm ye ek baDa hai
ek nasur hai jo apni izzat ki rah mein khaDa hai
kaun hai jo is zulm ko roke jo har ja pe paDa hai
bachchon ko madrase mein bhejo mat do bahs ko tul

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School written by Riyaz Ahmad Qadri at UrduPoint. Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School is one of the masterpieces written by Riyaz Ahmad Qadri. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Ahmad Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Ahmad Qadri' above.

Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School is a widely read Urdu Nazam. If you like Karte Hain Mazduri Bachche Jate Nahin School, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.