Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمیں پینے پلانے کا مزا اب تک نہیں آیا

ریاضؔ خیرآبادی

ہمیں پینے پلانے کا مزا اب تک نہیں آیا

کہ بزم مے میں کوئی پارسا اب تک نہیں آیا

ستم بھی لطف ہو جاتا ہے بھولے پن کی باتوں سے

تجھے اے جان انداز جفا اب تک نہیں آیا

دم آخر تھے بالیں پہ جو آنے کو وہ آئے بھی

تو ہنس کر کہہ گئے وقت دعا اب تک نہیں آیا

سحر ہوتے بجھائے کون اے شمع لحد تجھ کو

کوئی جھونکا نسیم صبح کا اب تک نہیں آیا

خدا جانے ہوا کیا کوچۂ جاناں میں دل جا کر

مرا بھولا ہوا بھٹکا ہوا اب تک نہیں آیا

گیا تھا کہہ کے یہ قاصد کہ الٹے پاؤں آتا ہوں

کہاں کمبخت جا کر مر رہا اب تک نہیں آیا

جسے تم کوستے ہو عمر اس کی اور بڑھتی ہے

تمہیں سب کچھ تو آیا کوسنا اب تک نہیں آیا

ستم کرنا دغا کرنا کہ وعدے کا وفا کرنا

بتاؤ کیا تمہیں آیا ہے کیا اب تک نہیں آیا

کسی نے کوئی دشمن میں چھپا ڈالا مٹا ڈالا

گلی تو آئی ان کا نقش پا اب تک نہیں آیا

یہ کیا انصاف ہے صیاد چھوڑے قید سے مجھ کو

کہ ایسا کوئی مرغ خوش نوا اب تک نہیں آیا

بتا دیں آ گیا کیا تم کو اس اٹھتی جوانی میں

بتا دیں کان میں چپکے سے کیا اب تک نہیں آیا

بتان نازنیں جب دیکھتے ہیں مجھ سے کہتے ہیں

تمہاری جان پر قہر خدا اب تک نہیں آیا

کیا حسرت سے رخصت صبح کے تاروں کو یہ کہہ

کہ جس کا شام سے تھا آسرا اب تک نہیں آیا

یہ غفلت ہے کہ محشر میں بھی آنکھیں بند ہیں میری

سمجھتا ہوں یہی روز جزا اب تک نہیں آیا

نہ پھوٹی کوئی کوپل تک مری شاخ نشیمن میں

خزاں کے بعد موسم دوسرا اب تک نہیں آیا

دیا ہو تو دیا ہو کچھ پیام شوق آنکھوں نے

مرے لب پر تو حرف مدعا اب تک نہیں آیا

اس ابھرے ابھرے جوبن پر یوں ہی وہ بیٹھے رہ جاتے

انہیں اٹھتی جوانی کا مزا اب تک نہیں آیا

وہ دن آئے مرے سرکار اہل بزم سے پوچھیں

کہاں ہے کیوں ریاضؔ خوش نوا اب تک نہیں آیا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya

Riyaz Khairabadi

hamein pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya
ki bazm-e-mai mein koi parsa ab tak nahin aaya

sitam bhi lutf ho jata hai bhole-pan ki baaton se
tujhe ai jaan andaz-e-jafa ab tak nahin aaya

dam-e-aKHir the baalin pe jo aane ko wo aae bhi
to hans kar kah gae waqt-e-dua ab tak nahin aaya

sahar hote bujhae kaun ai sham-e-lahad tujh ko
koi jhonka nasim-e-subh ka ab tak nahin aaya

KHuda jaane hua kya kucha-e-jaanan mein dil ja kar
mera bhula hua bhaTka hua ab tak nahin aaya

gaya tha kah ke ye qasid ki ulTe panw aata hun
kahan kambaKHt ja kar mar raha ab tak nahin aaya

jise tum koste ho umr us ki aur baDhti hai
tumhein sab kuchh to aaya kosna ab tak nahin aaya

sitam karna dagha karna ki wade ka wafa karna
batao kya tumhein aaya hai kya ab tak nahin aaya

kisi ne koi dushman mein chhupa Dala miTa Dala
gali to aai un ka naqsh-e-pa ab tak nahin aaya

ye kya insaf hai sayyaad chhoDe qaid se mujh ko
ki aisa koi murgh-e-KHush-nawa ab tak nahin aaya

bata den aa gaya kya tum ko is uThti jawani mein
bata den kan mein chupke se kya ab tak nahin aaya

butan-e-naznin jab dekhte hain mujh se kahte hain
tumhaari jaan par qahr-e-KHuda ab tak nahin aaya

kiya hasrat se ruKHsat subh ke taron ko ye kah
ki jis ka sham se tha aasra ab tak nahin aaya

ye ghaflat hai ki mahshar mein bhi aankhen band hain meri
samajhta hun yahi roz-e-jaza ab tak nahin aaya

na phuTi koi kopal tak meri shaKH-e-nasheman mein
KHizan ke baad mausam dusra ab tak nahin aaya

diya ho to diya ho kuchh payam-e-shauq aankhon ne
mere lab par to harf-e-muddaa ab tak nahin aaya

is ubhre ubhre joban par yunhi wo baiThe rah jate
unhen uThti jawani ka maza ab tak nahin aaya

wo din aae mere sarkar ahl-e-bazm se puchhen
kahan hai kyun 'riyaz'-e-KHush-nawa ab tak nahin aaya

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamein Pine-pilane Ka Maza Ab Tak Nahin Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.