Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمارے دل میں کوئی آرزو نہیں باقی

ریاضؔ خیرآبادی

ہمارے دل میں کوئی آرزو نہیں باقی

ہمارے پھول میں اب رنگ و بو نہیں باقی

بہت کہی دل ناداں عدو نہیں باقی

مرا عدو مرے پہلو میں تو نہیں باقی

تمہارے تیر کی اب آرزو نہیں باقی

ہوا ہے پیپ کلیجہ لہو نہیں باقی

یہ مے کدہ ہے کہ مسجد یہ آب ہے کہ شراب

کوئی بھی ظرف برائے وضو نہیں باقی

دھرا ہے کیا مرے گھر میں کہ محتسب لے گا

پر از شراب وہ جام و سبو نہیں باقی

وہ رہ کے غیر کی صحبت میں ہو گئے کچھ اور

وہ بات پچھلی سی اگلی سی خو نہیں باقی

تھکا پڑا ہوں تو واماندگی یہ کہتی ہے

انہیں کسی کی بھی اب جستجو نہیں باقی

جو مے کی بوند نہ نکلی تو پڑ گیا پانی

بحال خویش سبو اب سبو نہیں باقی

ہماری آپ کی بات اٹھ رہی ہے محشر پر

ہماری آپ کی کچھ گفتگو نہیں باقی

جو نکلے خار تو دامن سے سوئیاں الجھیں

جگہ ذرا سی کہیں بے رفو نہیں باقی

بڑھی ہے بات قیامت میں جھوٹے وعدے پر

وہ منفعل ہے تو کچھ گفتگو نہیں باقی

یہ محتسب ہے عبث گھر کو سونگھتا پھرتا

کہ بوند بھر بھی مے مشک بو نہیں باقی

ہوا ہے آئنے کے ساتھ عکس کو سکتا

کسی میں جان ترے روبرو نہیں باقی

بہیں شراب کے دریا تو ہم کو لطف نہیں

کہ سبزہ کچھ بھی لب آب جو نہیں باقی

بڑھی ہے پاک نہادی یہ بادہ نوشوں کی

کہ اب نماز میں قید وضو نہیں باقی

ہماری آنکھ میں تاریک بزم عالم ہے

جو زیب بزم تھے وہ شمع رو نہیں باقی

ریاضؔ موت کو کیوں موت آئی جاتی ہے

ہمیں تو موت کی بھی آرزو نہیں باقی

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi

Riyaz Khairabadi

hamare dil mein koi aarzu nahin baqi
hamare phul mein ab rang-o-bu nahin baqi

bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baqi
mera adu mere pahlu mein tu nahin baqi

tumhaare tir ki ab aarzu nahin baqi
hua hai pip kaleja lahu nahin baqi

ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf bara-e-wuzu nahin baqi

dhara hai kya mere ghar mein ki mohtasib lega
pur-az-sharab wo jam-o-subu nahin baqi

wo rah ke ghair ki sohbat mein ho gae kuchh aur
wo baat pichhli si agli si KHu nahin baqi

thaka paDa hun to wamandgi ye kahti hai
unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baqi

jo mai ki bund na nikli to paD gaya pani
ba-haal-e-KHwesh subu ab subu nahin baqi

hamari aap ki baat uTh rahi hai mahshar par
hamari aap ki kuchh guftugu nahin baqi

jo nikle KHar to daman se suiyan uljhin
jagah zara si kahin be-rafu nahin baqi

baDhi hai baat qayamat mein jhuTe wade par
wo munfail hai to kuchh guftugu nahin baqi

ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta
ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baqi

hua hai aaine ke sath aks ko sakta
kisi mein jaan tere ru-ba-ru nahin baqi

bahen sharab ke dariya to hum ko lutf nahin
ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baqi

baDhi hai pak-nihadi ye baada-noshon ki
ki ab namaz mein qaid-e-wuzu nahin baqi

hamari aankh mein tarik bazm-e-alam hai
jo zeb-e-bazm the wo shama-ru nahin baqi

'riyaz' maut ko kyun maut aai jati hai
hamein to maut ki bhi aarzu nahin baqi

(305) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamare Dil Mein Koi Aarzu Nahin Baqi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.