Jis Din Se Haram Ho Gai Hai, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Jis Din Se Haram Ho Gai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Jis Din Se Haram Ho Gai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Din Se Haram Ho Gai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس دن سے حرام ہو گئی ہے

ریاضؔ خیرآبادی

جس دن سے حرام ہو گئی ہے

مے خلد مقام ہو گئی ہے

قابو میں ہے ان کے وصل کا دن

جب آئے ہیں شام ہو گئی ہے

افتاد چمن یہ ہے کہ بلبل

خود ہی تہ دام ہو گئی ہے

توبہ سے گھٹی یہ قدر و قیمت

مے دام کے دام ہو گئی ہے

آتی ہے قیامت اس گلی میں

پامال خرام ہو گئی ہے

توبہ سے ہماری بوتل اچھی

جب ٹوٹی ہے جام ہو گئی ہے

کچھ زہر نہ تھی شراب انگور

کیا چیز حرام ہو گئی ہے

لب تک جو کبھی نہ آئے وہ آہ

اونچی سو بام ہو گئی ہے

مے نوش ضرور ہیں وہ نا اہل

جن پر یہ حرام ہو گئی ہے

بجھ بجھ کے جلی تھی قبر پر شمع

جل جل کے تمام ہو گئی ہے

آ جائے اسے جو آئے مجھ تک

موت ان کا پیام ہو گئی ہے

ہر بات میں ہونٹھ پر ہے دشنام

اب حسن کلام ہو گئی ہے

سر خم ہے حرم میں سوئے طیبہ

کچھ خوئے سلام ہو گئی ہے

دولت دل کی بتو ہے محفوظ

اللہ کے نام ہو گئی ہے

پھر پھر کے نظر ہوئی ہے صدقے

جم کر خط جام ہو گئی ہے

ہے دور ابھی ریاضؔ منزل

دن ختم ہے شام ہو گئی ہے

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Din Se Haram Ho Gai Hai

Riyaz Khairabadi

jis din se haram ho gai hai
mai KHuld-maqam ho gai hai

qabu mein hai un ke wasl ka din
jab aae hain sham ho gai hai

uftad-e-chaman ye hai ki bulbul
KHud hi tah-e-dam ho gai hai

tauba se ghaTi ye qadr-o-qimat
mai dam ke dam ho gai hai

aati hai qayamat us gali mein
pamal KHiram ho gai hai

tauba se hamari botal achchhi
jab TuTi hai jam ho gai hai

kuchh zahr na thi sharab-e-angur
kya chiz haram ho gai hai

lab tak jo kabhi na aae wo aah
unchi so baam ho gai hai

mai-nosh zarur hain wo na-ahl
jin par ye haram ho gai hai

bujh bujh ke jali thi qabr par shama
jal jal ke tamam ho gai hai

aa jae use jo aae mujh tak
maut un ka payam ho gai hai

har baat mein honTh par hai dushnam
ab husn-e-kalam ho gai hai

sar KHam hai haram mein su-e-taiba
kuchh KHu-e-salam ho gai hai

daulat dil ki buto hai mahfuz
allah ke nam ho gai hai

phir phir ke nazar hui hai sadqe
jam kar KHat-e-jam ho gai hai

hai dur abhi 'riyaz' manzil
din KHatm hai sham ho gai hai

(322) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Din Se Haram Ho Gai Hai written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Jis Din Se Haram Ho Gai Hai is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Jis Din Se Haram Ho Gai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Din Se Haram Ho Gai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.