Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس عشق جنوں خیز میں کیا کیا نہیں ہوتا

ریاضؔ خیرآبادی

اس عشق جنوں خیز میں کیا کیا نہیں ہوتا

دیوانہ ہے جو قیس سے لیلیٰ نہیں ہوتا

کچھ حشر لحد پر ابھی برپا نہیں ہوتا

آئے ہو تو ٹھہرو کوئی زندہ نہیں ہوتا

کیوں کر یہ کہوں حسن کا نشہ نہیں ہوتا

ہوتا تو بہت ہے مگر اتنا نہیں ہوتا

کچھ کہئے تو شرما کے جھکا لیتے ہیں گردن

بھولے سے بھی اب وعدۂ فردا نہیں ہوتا

ملتے ہیں وہ دل سرخ ہوئی جاتی ہے چٹکی

نازک ہیں بہت خون تمنا نہیں ہوتا

دیتی ہے مزا مے کا ہمیں تلخئ‌ توبہ

جب ہاتھ میں پیمانۂ صہبا نہیں ہوتا

وہ حشر کے دن کشتے کو ٹھکرا چکے سو بار

کچھ جان سی پڑ جاتی ہے زندہ نہیں ہوتا

بولی یہ تمنا جو رکے وہ در دل پر

گھر آپ کا ہے آپ سے پردا نہیں ہوتا

تیروں کو جگہ دیتے ہیں جو سینے میں اپنے

ان لوگوں کے اے جان کلیجہ نہیں ہوتا

صحرا سے قدم گھر کی طرف خاک اٹھاؤں

کانٹے سے جدا پاؤں کا چھالا نہیں ہوتا

بیٹھے نظر آتے ہیں وہی تیری گلی میں

جن کا کہیں دنیا میں ٹھکانا نہیں ہوتا

فرقت میں ہے کیوں نزع کی تکلیف گوارا

مر جائیں ریاضؔ آپ سے اتنا نہیں ہوتا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota

Riyaz Khairabadi

is ishq-e-junun-KHez mein kya kya nahin hota
diwana hai jo qais se laila nahin hota

kuchh hashr lahad par abhi barpa nahin hota
aae ho to Thahro koi zinda nahin hota

kyun kar ye kahun husn ka nashsha nahin hota
hota to bahut hai magar itna nahin hota

kuchh kahiye to sharma ke jhuka lete hain gardan
bhule se bhi ab wada-e-farda nahin hota

milte hain wo dil surKH hui jati hai chuTki
nazuk hain bahut KHun-e-tamanna nahin hota

deti hai maza mai ka hamein talKHi-e-tauba
jab hath mein paimana-e-sahba nahin hota

wo hashr ke din kushte ko Thukra chuke sau-bar
kuchh jaan si paD jati hai zinda nahin hota

boli ye tamanna jo ruke wo dar-e-dil par
ghar aap ka hai aap se parda nahin hota

tiron ko jagah dete hain jo sine mein apne
un logon ke ai jaan kaleja nahin hota

sahra se qadam ghar ki taraf KHak uThaun
kanTe se juda panw ka chhaala nahin hota

baiThe nazar aate hain wahi teri gali mein
jin ka kahin duniya mein Thikana nahin hota

furqat mein hai kyun naza ki taklif gawara
mar jaen 'riyaz' aap se itna nahin hota

(322) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Ishq-e-junun-KHez Mein Kya Kya Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.