Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبح محشر بھی گوارا نہیں فرقت میری

ریاضؔ خیرآبادی

صبح محشر بھی گوارا نہیں فرقت میری

مجھ سے رہ رہ کے لپٹ جاتی ہے تربت میں

رنج دیتا ہے مزا وہ ہے طبیعت میری

چین لکھتی ہے مرے واسطے قسمت میری

آ کے ٹھکرا گئے کس ناز سے تربت میری

نہ کھلی آنکھ مری ہائے ری غفلت میری

کوئی آتا ہے کہیں ایسے سیہ خانے میں

میرے گھر کا ہے اجالا شب فرقت میری

صدقے اے تمکنت ناز دکھا دے مجھ کو

ہائے وہ آنکھ نہ ہو جس میں مروت میری

کیا نڈر ہو کے شب وصل وہ آ بیٹھے ہیں

جانتے ہیں کہ بچا لے گی نزاکت میری

جتنے دل خاک ہوئے روز ازل سے اب تک

آج ان سب کا نشاں دیتی ہے تربت میری

مے و معشوق نہیں آپ میں رہنے دیتے

بعد توبہ بھی بدل جاتی ہے نیت میری

اس طرح حشر میں آیا ہوں لحد سے اٹھ کر

کہ فرشتے نہیں پہچانتے صورت میری

حشر میں پیش نظر ہوں گے بتان کافر

مجھے ڈر ہے نہ بگڑ جائے طبیعت میری

دھوکے دیتی ہے بری طرح یہ لوگوں کو ریاضؔ

ملتی جلتی ہے بہت خضر سے صورت میری

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri

Riyaz Khairabadi

subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
mujh se rah rah ke lipaT jati hai turbat mein

ranj deta hai maza wo hai tabiat meri
chain likhti hai mere waste qismat meri

aa ke Thukra gae kis naz se turbat meri
na khuli aankh meri hae ri ghaflat meri

koi aata hai kahin aise siyah-KHane mein
mere ghar ka hai ujala shab-e-furqat meri

sadqe ai tamkanat-e-naz dikha de mujh ko
hae wo aankh na ho jis mein murawwat meri

kya niDar ho ke shab-e-wasl wo aa baiThe hain
jaante hain ki bacha legi nazakat meri

jitne dil KHak hue roz-e-azal se ab tak
aaj un sab ka nishan deti hai turbat meri

mai-o-mashuq nahin aap mein rahne dete
baad-e-tauba bhi badal jati hai niyyat meri

is tarah hashr mein aaya hun lahad se uTh kar
ki farishte nahin pahchante surat meri

hashr mein pesh-e-nazar honge butan-e-kafir
mujhe Dar hai na bigaD jae tabiat meri

dhoke deti hai buri tarah ye logon ko 'riyaz'
milti-julti hai bahut KHizr se surat meri

(469) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri is a widely read Urdu Ghazal. If you like Subh-e-mahshar Bhi Gawara Nahin Furqat Meri, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.