Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبح ہے رات کہاں اب وہ کہاں رات کی بات

ریاضؔ خیرآبادی

صبح ہے رات کہاں اب وہ کہاں رات کی بات

بات ہی بات تو ہے بیٹھ بھی لو بات کی بات

عرش پر رہتے ہیں کیا کعبے کے رہنے والے

کوئی سنتا ہی نہیں اہل خرابات کی بات

یہ کوئی بات ہے خم ساتھ لئے واعظ آئے

اور پھر میں نہ سنوں قبلۂ حاجات کی بات

پھوٹ کر روتے ہوئے دیکھ لیا ہے مجھ کو

چھیڑنے کو مرے ہر وقت ہے برسات کی بات

وہی ابھری ہے شکن بن کے جبیں پر تیری

گڑ گئی دل میں ترے کیا کسی بد ذات کی بات

نہ کھلا یہ کہ کہاں شب کو بچھائی تھی بساط

غیر کی چال کا کچھ ذکر تھا کچھ بات کی بات

جب کہا میں نے کہو غیر کے گھر کا کچھ حال

بولے جھنجھلا کے نکالی وہی بے بات کی بات

کہیں ایسا نہ ہو آ جائے ترس آپ کو کچھ

آپ سنئے نہ کسی مورد آفات کی بات

ظرف بے مے سے پلائی تو حرم میں پھیلی

پھیلتی جلد ہے کچھ اہل کرامات کی بات

رات کعبے میں گئی قلقل مینا بن کر

نہ تو چھپتی ہے نہ دبتی ہے خرابات کی بات

کوستے ہیں وہ بری طرح جو کہتا ہوں ریاضؔ

رات بھر آج بھی ہوتی رہی کل رات کی بات

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat

Riyaz Khairabadi

subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat
baat hi baat to hai baiTh bhi lo baat ki baat

arsh par rahte hain kya kabe ke rahne wale
koi sunta hi nahin ahl-e-KHarabaat ki baat

ye koi baat hai KHum sath liye waiz aae
aur phir main na sunun qibla-e-hajat ki baat

phuT kar rote hue dekh liya hai mujh ko
chheDne ko mere har-waqt hai barsat ki baat

wahi ubhri hai shikan ban ke jabin par teri
gaD gai dil mein tere kya kisi bad-zat ki baat

na khula ye ki kahan shab ko bichai thi bisat
ghair ki chaal ka kuchh zikr tha kuchh baat ki baat

jab kaha main ne kaho ghair ke ghar ka kuchh haal
bole jhunjhla ke nikali wahi be-baat ki baat

kahin aisa na ho aa jae taras aap ko kuchh
aap suniye na kisi morid-e-afat ki baat

zarf-e-be-mai se pilai to haram mein phaili
phailti jald hai kuchh ahl-e-karamat ki baat

raat kabe mein gai qulqul-e-mina ban kar
na to chhupti hai na dabti hai KHarabaat ki baat

koste hain wo buri tarah jo kahta hun 'riyaz'
raat-bhar aaj bhi hoti rahi kal raat ki baat

(339) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Subh Hai Raat Kahan Ab Wo Kahan Raat Ki Baat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.