Use Kahna December Aaya Hai, Urdu Nazam By Riyaz Tauheedi

Use Kahna December Aaya Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Riyaz Tauheedi. Use Kahna December Aaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Use Kahna December Aaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسے کہنا دسمبر آیا ہے

ریاض توحیدی

اسے کہنا دسمبر آیا ہے

خزاں نے بہار کی خوبصورتی کو

چنار کے زرد پتوں میں دفن کر دیا ہے

ان پتوں کی جوانی اب بڑھاپے کی سسکیوں

میں رو رہی ہے

اب یہ رونا بھی رفتہ رفتہ دم توڑ دے گا

اور اپنے معشوق کی بے بس ٹہنیوں سے

جدائی کا کرب سہتے سہتے

یہ سوکھے پتے خاک نشین ہو جائیں گے

پھر کون انہیں یاد رکھے گا

اسے کہنا کہ وہ گلشن

جس کے پھولوں کی خوبصورتی دیکھنے والوں کی آنکھوں کو بھی

خوب صورت بنا دیتی تھی

اور جس کی مہک

سانس میں بھی خوشبو گھول دیتی تھی

اسے اب

اونگھتے بلبل حسرت سے تک رہے ہیں

وہ بلبل جنہوں نے گلشن میں بہار کے نغمے

گائے تھے

جن کی سریلی آواز پر تتلیاں پھولوں کے گرد رقص کرتے کرتے

قوس قزح کو بھی شرمندہ کر دیتی تھیں

لیکن اب موسم بدلتے ہی نہ جانے وہ تتلیاں

پھولوں کا مذاق اڑا کر کس دیس کو جا بسیں

داستان ہجر سنا کر ذرا غور سے دیکھنا

کہ ان جھیل سی آنکھوں کا رنگ پیلا پڑ جاتا ہے یا کہ

نیلا ہی رہتا ہے

اور صبر سے سننا کہ

ان گلابی ہونٹوں سے بھنورے کے شوق میں

آہ نکلتی ہے یا کہ واہ

ریاض توحیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Use Kahna December Aaya Hai

Riyaz Tauheedi

use kahna december aaya hai
KHizan ne bahaar ki KHub-surati ko
chinar ke zard patton mein dafn kar diya hai
in patton ki jawani ab buDhape ki siskiyon
mein ro rahi hai
ab ye rona bhi rafta rafta dam toD dega
aur apne mashuq ki be-bas Tahniyon se
judai ka karb sahte sahte
ye sukhe patte KHak-nashin ho jaenge
phir kaun inhen yaad rakhega
use kahna ki wo gulshan
jis ke phulon ki KHub-surati dekhne walon ki aankhon ko bhi
KHubsurat bana deti thi
aur jis ki mahak
sans mein bhi KHushbu ghol deti thi
use ab
unghte bulbul hasrat se tak rahe hain
wo bulbul jinhon ne gulshan mein bahaar ke naghme
gae the
jin ki surili aawaz par titliyan phulon ke gird raqs karte karte
qaus-e-quzah ko bhi sharminda kar deti thin
lekin ab mausam badalte hi na jaane wo titliyan
phulon ka mazaq uDa kar kis des ko ja basin
dastan-e-hijr suna kar zara ghaur se dekhna
ki un jhil si aankhon ka rang pila paD jata hai ya ki
nila hi rahta hai
aur sabr se sunna ki
un gulabi honTon se bhaunre ke shauq mein
aah nikalti hai ya ki wah

(1420) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Use Kahna December Aaya Hai written by Riyaz Tauheedi at UrduPoint. Use Kahna December Aaya Hai is one of the masterpieces written by Riyaz Tauheedi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Tauheedi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Tauheedi' above.

Use Kahna December Aaya Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Use Kahna December Aaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.