Baba Kutta Bhi Rota Raha, Urdu Nazam By Riyaz Tauheedi

Baba Kutta Bhi Rota Raha is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Riyaz Tauheedi. Baba Kutta Bhi Rota Raha comes under the Sad, Social, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Baba Kutta Bhi Rota Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بابا کتا بھی روتا رہا

ریاض توحیدی

بابا میں بہت روئی تھی

مجھ سات برس کی نا سمجھ بچی کو

کتے اور انسان کے فرق کا کیا پتہ تھا

میں تو اپنی کاپی پر محبت کے قلم سے

انسان کی تصویر بناتی تھی

اور کتے کی تصویر بناتے بناتے

نفرت خود بخود دل میں امنڈ آتی تھی

لیکن

آج جب میں گھر سے اسکول کی طرف

نکل پڑی تو

راستے پر

کتے اور انسان کا سامنا ہوا

کتے کو دیکھ کر میں تو ڈر ہی گئی

اور انسان کی طرف بھاگی

لیکن

مجھے تب احساس ہوا کہ

جس کتے سے میں نفرت کرتی تھی

اس کی آنکھوں میں میرے لئے محبت

ابھر آئی ہے

کیونکہ

درندے نے جب مجھے گھسیٹ کر

جھاڑیوں کے پیچھے

اپنی نفرت کا نوالہ بنا لیا

اور

میرے گلابی جسم کو

اپنے زہریلے پنجوں سے

ریزہ ریزہ کرنے لگا

زہریلی خراش جوں ہی

گلابی جسم کو پارہ پارہ کرتی ہوئی

جگر کو چیر گئی

تو آخری ہچکی کے ساتھ ہی بابا

مجھے محسوس ہوا کہ

انسان کی حیوانیت دیکھ کر

وہ بے زبان کتا بھی

روتے روتے

انسانیت کا ماتم منا رہا ہے

ریاض توحیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Baba Kutta Bhi Rota Raha

Riyaz Tauheedi

baba main bahut roi thi
mujh sat baras ki na-samajh bachchi ko
kutte aur insan ke farq ka kya pata tha
main to apni copy par mohabbat ke qalam se
insan ki taswir banati thi
aur kutte ki taswir banate banate
nafrat KHud-baKHud dil mein umanD aati thi
lekin
aaj jab mein ghar se school ki taraf
nikal paDi to
raste par
kutte aur insan ka samna hua
kutte ko dekh kar main to Dar hi gai
aur insan ki taraf bhagi
lekin
mujhe tab ehsas hua ki
jis kutte se main nafrat karti thi
us ki aankhon mein mere liye mohabbat
ubhar aai hai
kyunki
darinde ne jab mujhe ghasiT kar
jhaDiyon ke pichhe
apni nafrat ka niwala bana liya
aur
mere gulabi jism ko
apne zahrile panjon se
reza reza karne laga
zahrili KHarash junhi
gulabi jism ko para para karti hui
jigar ko chir gai
to aaKHiri hichki ke sath hi baba
mujhe mahsus hua ki
insan ki haiwaniyat dekh kar
wo be-zaban kutta bhi
rote rote
insaniyat ka matam mana raha hai

(564) ووٹ وصول ہوئے

You can read Baba Kutta Bhi Rota Raha written by Riyaz Tauheedi at UrduPoint. Baba Kutta Bhi Rota Raha is one of the masterpieces written by Riyaz Tauheedi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Tauheedi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Tauheedi' above.

Baba Kutta Bhi Rota Raha is a widely read Urdu Nazam. If you like Baba Kutta Bhi Rota Raha, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.