Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan, Urdu Ghazal By Saeed Shahidi

Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saeed Shahidi. Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لے کے پہنچا اضطراب دل کہاں

سعید شہیدی

لے کے پہنچا اضطراب دل کہاں

میں کہاں اور آپ کی محفل کہاں

جس نے خود طوفاں میں کشتی ڈال دی

اس کے دل میں حسرت ساحل کہاں

فصل گل بھی ہے شب مہتاب بھی

سب سہی لیکن سکون دل کہاں

میں کہیں محفل سے اٹھ جاؤں اگر

پھر تری محفل تری محفل کہاں

بات تو جب ہے کہ صورت ہو سوال

ہاتھ جو پھیلائے وہ سائل کہاں

ہم سفر جب یاد ہو جائے تری

پھر خیال دوریٔ منزل کہاں

حال دل کس کو سناتا ہے سعیدؔ

اب جہاں میں صاحبان دل کہاں

سعید شہیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan

Saeed Shahidi

le ke pahuncha iztirab-e-dil kahan
main kahan aur aap ki mahfil kahan

jis ne KHud tufan mein kushti Dal di
us ke dil mein hasrat-e-sahil kahan

fasl-e-gul bhi hai shab-e-mahtab bhi
sab sahi lekin sukun-e-dil kahan

main kahin mahfil se uTh jaun agar
phir teri mahfil teri mahfil kahan

baat to jab hai ki surat ho sawal
hath jo phailae wo sail kahan

ham-safar jab yaad ho jae teri
phir KHayal-e-duri-e-manzil kahan

haal-e-dil kis ko sunata hai 'said'
ab jahan mein sahiban-e-dil kahan

(443) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan written by Saeed Shahidi at UrduPoint. Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan is one of the masterpieces written by Saeed Shahidi. You can also find the complete poetry collection of Saeed Shahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeed Shahidi' above.

Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Le Ke Pahuncha Iztirab-e-dil Kahan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.