Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par, Urdu Ghazal By Safdar Mirzapuri

Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safdar Mirzapuri. Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رہے میری طرف سے خون کیوں قاتل کی گردن پر

صفدر مرزا پوری

رہے میری طرف سے خون کیوں قاتل کی گردن پر

وہ بسمل ہوں کہ آنے دی نہ میں نے چھینٹ دامن پر

محبت ہے بری شے دور کیوں جاؤ ہمیں دیکھو

ہمیں نے بارہا سر رکھ دیا ہے پائے دشمن پر

تمہارے نقش پا اک حشر کی تمہید ہیں گویا

قیامت کی نشانی دیکھتا ہوں قبر دشمن پر

جو ہونا تھا ہوا گھر جاؤ اس سے فائدہ کیا ہے

جگر تھامے ہوئے بیٹھے ہو کیوں اب میرے مدفن پر

فرشتے ساتھ والے حشر میں کچھ تو سہارا دیں

قدم اٹھتا نہیں ہے بار عصیاں وہ ہے گردن پر

خدا کی شان ہے وہ قتل کرنے آئے ہیں مجھ کو

جنہیں تلوار تک رکھنا نہیں آتی ہے گردن پر

دکھا دی حد دل بسمل نے آداب محبت کی

نماز صبح محشر تک پڑھی قاتل کے دامن پر

ابھی تو ہنس رہے ہیں کل خزاں میں حشر کیا ہوگا

ہنسی آتی ہے مجھ کو خندۂ گل ہائے گلشن پر

نہ چھوڑے خار تلووں نے نا چھوڑی خاک ہاتھوں نے

گئے ہم کیا کہ ڈاکہ پڑ گیا صحرا کے دامن پر

اندھیری رات میں اکثر جلاتی ہے چراغ آکر

ترس آتا ہے بجلی کو بھی بلبل کے نشیمن پر

مرے قاتل کے فریادی ہیں لاکھوں خیر ہو یا رب

کوئی دھبہ نہ آئے عرصۂ محشر کے دامن پر

نشیمن پھونک کر اے برق بجلی کر دیا دل کو

کبھی تڑپا کبھی لوٹا کیا خاک نشیمن پر

صفدر مرزا پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par

Safdar Mirzapuri

rahe meri taraf se KHun kyon qatil ki gardan par
wo bismil hun ki aane di na main ne chhinT daman par

mohabbat hai buri shai dur kyon jao hamein dekho
hamin ne barha sar rakh diya hai pa-e-dushman par

tumhaare naqsh-e-pa ek hashr ki tamhid hain goya
qayamat ki nishani dekhta hun qabr-e-dushman par

jo hona tha hua ghar jao is se faeda kya hai
jigar thame hue baiThe ho kyon ab mere madfan par

farishte sath wale hashr mein kuchh to sahaara den
qadam uThta nahin hai bar-e-isyan wo hai gardan par

KHuda ki shan hai wo qatl karne aae hain mujh ko
jinhen talwar tak rakhna nahin aati hai gardan par

dikha di had dil-e-bismil ne aadab-e-mohabbat ki
namaz-e-subh mahshar tak paDhi qatil ke daman par

abhi to hans rahe hain kal KHizan mein hashr kya hoga
hansi aati hai mujh ko KHanda-e-gul-ha-e-gulshan par

na chhoDe KHar talwon ne na chhoDi KHak hathon ne
gae hum kya ki Daka paD gaya sahra ke daman par

andheri raat mein aksar jalati hai charagh aakar
taras aata hai bijli ko bhi bulbul ke nasheman par

mere qatil ke fariyaadi hain lakhon KHair ho ya-rab
koi dhabba na aae arsa-e-mahshar ke daman par

nasheman phunk kar ai barq bijli kar diya dil ko
kabhi taDpa kabhi loTa kiya KHak-e-nasheman par

(368) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par written by Safdar Mirzapuri at UrduPoint. Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par is one of the masterpieces written by Safdar Mirzapuri. You can also find the complete poetry collection of Safdar Mirzapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safdar Mirzapuri' above.

Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rahe Meri Taraf Se KHun Kyon Qatil Ki Gardan Par, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.