Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se, Urdu Ghazal By Safdar Mirzapuri

Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safdar Mirzapuri. Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلہ کچھ ان سے نہ ان کی جفا طرازی سے

صفدر مرزا پوری

گلہ کچھ ان سے نہ ان کی جفا طرازی سے

ملا ہوں خاک میں یاروں کی چارہ سازی سے

میں کم نہیں کسی صائم کسی نمازی سے

کہ میکدے میں گزرتی ہے پاک بازی سے

زباں منہ میں مرے دی ہے گالیاں دے کر

خجل ہیں دل میں کچھ اپنی زباں درازی سے

تم آسمان بنے ہو ستا ستا کے مجھے

بلندی نام ہوا ہے جفا طرازی سے

نہ پوچھتے مرے دل کو نہ ہاتھ سے جاتا

گلہ ہے مجھ کو فقط ان کی دل نوازی سے

بتوں کی سجدہ گزاری کا ڈھب نہ تھا معلوم

سلیقہ ہم نے یہ سیکھا بڑے نمازی سے

ڈرے گی تم سے قیامت اجی معاذ اللہ

دکھا دو آنکھ کہ رک جائے فتنہ سازی سے

نظر نہ ڈال مرے بے شمار جرموں پر

بعید کیا ہے تری شان بے نیازی سے

کہیں سے صبح قیامت ابھر نہیں سکتی

بری دبی ہے شب ہجر کی درازی سے

یہ کیا ستم ہے کسی طرح تم نہیں ملتے

ملو نہ دل سے ملو تو زمانہ سازی سے

بتوں سے پہلے ارادت تھی کعبہ والوں کو

بنائے عشق حقیقی پڑی مجازی سے

ہے آسماں کو بھی گردش زمیں کو بھی چکر

بچا نہ کوئی تمہاری نشانہ بازی سے

شراب خانے میں جا بیٹھے دو گھڑی کے لئے

ملی بھی ہم کو جو فرصت قمار بازی سے

ملے تھے کل ہمیں میخانے میں وہی صفدرؔ

لئے جو سبحہ نظر آتے ہیں نمازی سے

صفدر مرزا پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se

Safdar Mirzapuri

gila kuchh un se na un ki jafa-taraazi se
mila hun KHak mein yaron ki chaarasazi se

main kam nahin kisi saim kisi namazi se
ki mai-kade mein guzarti hai pak-bazi se

zaban munh mein mere di hai galiyan de kar
KHajil hain dil mein kuchh apni zaban-daraazi se

tum aasman bane ho sata sata ke mujhe
bulandi nam hua hai jafa-taraazi se

na puchhte mere dil ko na hath se jata
gila hai mujh ko faqat un ki dil-nawazi se

buton ki sajda-guzari ka Dhab na tha malum
saliqa hum ne ye sikha baDe namazi se

Daregi tum se qayamat aji maaz-allah
dikha do aankh ki ruk jae fitna-sazi se

nazar na Dal mere be-shumar jurmon par
baid kya hai teri shan-e-be-niyazi se

kahin se subh-e-qayamat ubhar nahin sakti
buri dabi hai shab-e-hijr ki daraazi se

ye kya sitam hai kisi tarah tum nahin milte
milo na dil se milo to zamana-sazi se

buton se pahle iradat thi kaba walon ko
bina-e-ishq-e-haqiqi paDi majazi se

hai aasman ko bhi gardish zamin ko bhi chakkar
bacha na koi tumhaari nishane-bazi se

sharab-KHane mein ja baiThe do ghaDi ke liye
mili bhi hum ko jo fursat qimar-bazi se

mile the kal hamein maiKHane mein wahi 'safdar'
liye jo subha nazar aate hain namazi se

(421) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se written by Safdar Mirzapuri at UrduPoint. Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se is one of the masterpieces written by Safdar Mirzapuri. You can also find the complete poetry collection of Safdar Mirzapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safdar Mirzapuri' above.

Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gila Kuchh Un Se Na Unki Jafa-taraazi Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.