Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اتنے تو ہم خیال دل مبتلا ہیں ہم

صفی اورنگ آبادی

اتنے تو ہم خیال دل مبتلا ہیں ہم

کل جس سے خوش تھے آج اسی سے خفا ہیں ہم

تجھ سے جدا نہیں ہیں جو تجھ سے جدا ہیں ہم

تیرے ہی ہیں اگرچہ ترے نقش پا ہیں ہم

کہتے ہیں ہم کو نیک بھی بد بھی ہزار ہا

اس کی خبر نہیں ہے کہ دراصل کیا ہیں ہم

رتبہ بڑھا دیا ہے جنون فراق نے

ہم سے جدا ہیں آپ تو سب سے جدا ہیں ہم

تاثیر اشک و آہ نے بدلا نہیں مزاج

مدت ہوئی کہ شاکیٔ آب و ہوا ہیں ہم

لاکھوں جفائیں سہہ کے اب آیا ہے یہ خیال

ملتے ہی کیوں ہیں اس سے جو بے مدعا ہیں ہم

وہ یاس بن گئی جو زمانے کی آس تھی

آزردہ آج اپنے سے بے انتہا ہیں ہم

جمتا ہے اپنے ذکر سے اب محفلوں کا رنگ

رہتے ہیں اپنے گھر میں مگر جا بجا ہیں ہم

کیا کیا عنایتیں ہیں بس اے چرخ پیر بس

تیرا تصدق اب بھی کسی سے جدا ہیں ہم

اب اتفاق اہل وفا تم کو کیا دکھائیں

محشر میں دیکھنا کہ یہ سب ایک جا ہیں

منظور امتحان دل عشق باز ہے

اب اپنے واسطے بھی تو صبر آزما ہیں ہم

اس پر مٹے ہوئے ہیں مٹاتا ہے جو صفیؔ

دشمن کی گا رہے ہیں بڑے خوش نوا ہیں ہم

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum

Safi Aurangabadi

itne to ham-KHayal dil-e-mubtala hain hum
kal jis se KHush the aaj isi se KHafa hain hum

tujh se juda nahin hain jo tujh se juda hain hum
tere hi hain agarche tere naqsh-e-pa hain hum

kahte hain hum ko nek bhi bad bhi hazar-ha
is ki KHabar nahin hai ki dar-asl kya hain hum

rutba baDha diya hai junun-e-firaq ne
hum se juda hain aap to sab se juda hain hum

tasir-e-ashk-o-ah ne badla nahin mizaj
muddat hui ki shaki-e-ab-o-hawa hain hum

lakhon jafaen sah ke ab aaya hai ye KHayal
milte hi kyun hain us se jo be-muddaa hain hum

wo yas ban gai jo zamane ki aas thi
aazurda aaj apne se be-intiha hain hum

jamta hai apne zikr se ab mahfilon ka rang
rahte hain apne ghar mein magar ja-ba-ja hain hum

kya kya inayaten hain bas ai charKH-e-pir bas
tera tasadduq ab bhi kisi se juda hain hum

ab ittifaq-e-ahl-e-wafa tum ko kya dikhaen
mahshar mein dekhna ki ye sab ek ja hain

manzur imtihan-e-dil-e-ishq-baz hai
ab apne waste bhi to sabr-azma hain hum

is par miTe hue hain miTata hai jo safi'
dushman ki ga rahe hain baDe KHush-nawa hain hum

(634) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Itne To Ham-KHayal Dil-e-mubtala Hain Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.