Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو حسن و عشق سے امن و اماں میں رہتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

جو حسن و عشق سے امن و اماں میں رہتے ہیں

کہاں کے لوگ ہیں وہ کس جہاں میں رہتے ہیں

کلام پاک میں ہے ذکر حضرت یوسف

یہ حسن و عشق ہر اک داستاں میں رہتے ہیں

الٰہی اب سے حسینوں کو مہربان بنا

کہ تیرے بندے انہیں کی اماں میں رہتے ہیں

تمہیں تو ہو وہ جو درد و الم میں رکھتے ہو

ہمیں تو ہیں وہ جو آہ و فغاں میں رہتے ہیں

مجھے تو آپ سے مطلب ہے چاند سورج کون

وہ ان کو چاہیں گے جو آسماں میں رہتے ہیں

کدھر کدھر کے چلے آتے ہیں یہ بے وحدت

کہاں کہاں کے تمہارے مکاں میں رہتے ہیں

امید رنج الم ضبط درد صبر قلق

یہ سب ہمارے دل ناتواں میں رہتے ہیں

ہزاروں کام ہیں ایسے بھی دیکھ اے غافل

کہ بعد مرگ بھی لوگ اس جہاں میں رہتے ہیں

خدا سمجھ لے لگانے بجھانے والوں کو

یہ خواہ مخواہ یہاں میں وہاں میں رہتے ہیں

اشارے آپ کی ابرو کے کوئی کیا جانے

کہ کتنے زہر کے تیر اس کماں میں رہتے ہیں

ہماری خاص ترقی ہے خانہ ویرانی

کبھی مکاں میں تھے اب لا مکاں میں رہتے ہیں

اگر سمجھ ہے تو دل دے کے لطف زیست اٹھا

ہزار فائدے اس اک زیاں میں رہتے ہیں

خیال دوست میں رہتے ہیں اے صفیؔ جب تک

تو اس جہاں میں نہ ہم اس جہاں میں رہتے ہیں

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain

Safi Aurangabadi

jo husn-o-ishq se amn-o-aman mein rahte hain
kahan ke log hain wo kis jahan mein rahte hain

kalam-e-pak mein hai zikr-e-hazrat-e-yusuf
ye husn-o-ishq har ek dastan mein rahte hain

ilahi ab se hasinon ko mehrban bana
ki tere bande unhin ki aman mein rahte hain

tumhin to ho wo jo dard-o-alam mein rakhte ho
hamin to hain wo jo aah-o-fughan mein rahte hain

mujhe to aap se matlab hai chand suraj kaun
wo un ko chahenge jo aasman mein rahte hain

kidhar kidhar ke chale aate hain ye be-wahdat
kahan kahan ke tumhaare makan mein rahte hain

umid ranj alam zabt dard sabr qalaq
ye sab hamare dil-e-na-tawan mein rahte hain

hazaron kaam hain aise bhi dekh ai ghafil
ki baad marg bhi log is jahan mein rahte hain

KHuda samajh le lagane bujhane walon ko
ye KHwah-maKHwah yahan mein wahan mein rahte hain

ishaare aap ki abru ke koi kya jaane
ki kitne zahr ke tir is kaman mein rahte hain

hamari KHas taraqqi hai KHana-virani
kabhi makan mein the ab la-makan mein rahte hain

agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zist uTha
hazar faede us ek ziyan mein rahte hain

KHayal-e-dost mein rahte hain ai safi' jab tak
to is jahan mein na hum us jahan mein rahte hain

(487) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Husn-o-ishq Se Amn-o-aman Mein Rahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.