KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka, Urdu Ghazal By Safi Aurangabadi

KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safi Aurangabadi. KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوب ہاتھوں ہاتھ بدلہ مل گیا بیداد کا

صفی اورنگ آبادی

خوب ہاتھوں ہاتھ بدلہ مل گیا بیداد کا

آشیاں میرا جلا گھر جل گیا صیاد کا

یہ خلاصہ مختصر ہے عشق کی روداد کا

شوق ہے ان کو ستانے کا ہمیں فریاد کا

ہر گرفتار قفس قیدی ہے بے میعاد کا

چھوڑ بھی دیتا ہے جی چاہے اگر صیاد کا

واہ مجھ ایسے مقید کو لقب آنراء کا

مصلحت صیاد کی ہے یا کرم صیاد کا

اب کیا کرتا ہے ماتم بلبل ناشاد کا

دل لرزتا ہے تقیہ دیکھ کر صیاد کا

حشر اس دن دیکھنا ہر بانیٔ بیداد کا

جب زمیں تانبے کی ہوگی آسماں فولاد کا

کیا مری فریاد کا ان پر اثر ہوتا نہیں

جو انہیں معلوم ہو جاتا سبب فریاد کا

کہتے ہیں بے قاعدہ فریاد ہم سنتے نہیں

پھر بتاتے بھی نہیں وہ قاعدہ فریاد کا

ایک خودبیں کو ہوا جس وقت خود بینی کا شوق

بن گیا منڈان سارے عالم ایجاد کا

کچھ مری فریاد بھی ان پر اثر کرتی نہیں

اور کچھ وہ بھی اثر لیتے نہیں فریاد کا

عاشقی سر پھوڑ لینے کے سوا کچھ بھی نہیں

ہم تو یہ سمجھے ہیں سن کر ماجرا فرہاد کا

دام کا کیا ذکر ہے میں بندۂ بے دام ہوں

شامت آئی پھنس گیا منہ دیکھ کر صیاد کا

انتظام آب و دانہ ہے نہ تنظیم قفس

مجھ سے پوچھو بولتا شہکار ہوں صیاد کا

نالہ و فریاد بہر عیش ہو جب اے صفیؔ

پھر کہاں تاثیر نالے کی اثر فریاد کا

صفی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka

Safi Aurangabadi

KHub hathon-hath badla mil gaya bedad ka
aashiyan mera jala ghar jal gaya sayyaad ka

ye KHulasa muKHtasar hai ishq ki rudad ka
shauq hai un ko satane ka hamein fariyaad ka

har giraftar-e-qafas qaidi hai be-miad ka
chhoD bhi deta hai ji chahe agar sayyaad ka

wah mujh aise muqayyad ko laqab aanra ka
maslahat sayyaad ki hai ya karam sayyaad ka

ab kya karta hai matam bulbul-e-nashad ka
dil larazta hai taqayya dekh kar sayyaad ka

hashr us din dekhna har bani-e-be-dad ka
jab zamin tanbe ki hogi aasman faulad ka

kya meri fariyaad ka un par asar hota nahin
jo unhen malum ho jata sabab fariyaad ka

kahte hain be-qaida fariyaad hum sunte nahin
phir batate bhi nahin wo qaeda fariyaad ka

ek KHud-bin ko hua jis waqt KHud-bini ka shauq
ban gaya manDan sare aalam-e-ijad ka

kuchh meri fariyaad bhi un par asar karti nahin
aur kuchh wo bhi asar lete nahin fariyaad ka

aashiqi sar phoD lene ke siwa kuchh bhi nahin
hum to ye samjhe hain sun kar majra farhad ka

dam ka kya zikr hai main banda-e-be-dam hun
shamat aai phans gaya munh dekh kar sayyaad ka

intizam-e-ab-o-dana hai na tanzim-e-qafas
mujh se puchho bolta shahkar hun sayyaad ka

nala-o-fariyaad bahr-e-aish ho jab ai safi'
phir kahan tasir nale ki asar fariyaad ka

(493) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka written by Safi Aurangabadi at UrduPoint. KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka is one of the masterpieces written by Safi Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Safi Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safi Aurangabadi' above.

KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHub Hathon-hath Badla Mil Gaya Bedad Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.