Yaad Hain, Urdu Nazam By Sahba Lakhnavi

Yaad Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sahba Lakhnavi. Yaad Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Yaad Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یاد ہیں

صہبا لکھنوی

جان صہباؔ سچ کہو پیہم سہارے یاد ہیں

وہ نگاہ اولیں کے کیا شرارے یاد ہیں

یاد ہیں وہ درد کی بڑھتی ہوئی بیتابیاں

سرد آہیں خشک لب آنسو کے دھارے یاد ہیں

وہ مئے الفت پلا دینا نگاہ مست سے

وعدۂ رنگیں کے وہ الفاظ پیارے یاد ہیں

نو بہ نو ساز محبت کی وہ نغمہ سنجیاں

وہ ترنم وہ تبسم وہ نظارے یاد ہیں

یاد ہیں وہ بزم عشرت کی سکوں سامانیاں

شب کی خاموشی وہ دریا کے کنارے یاد ہیں

وہ فضائے روح پرور وہ بہار جاں فزا

وصل کی شب کے تمہیں وہ چاند تارے یاد ہیں

میری جانب وہ بھری محفل میں خاموشی کے ساتھ

اپنی چشم مست کے رنگیں اشارے یاد ہیں

پھر ذرا دھیمے سروں میں گنگنانا شعر کا

پھول سے جھڑتے ہوئے گردوں کے تارے یاد ہیں

آدھی آدھی رات تک شام محبت کی بہار

صبح کی تنویر میں جلوے تمہارے یاد ہیں

یاد ہیں صہباؔ شباب و شعر کی رنگینیاں

ہاں حدیث عشق کے الفاظ سارے یاد ہیں

آج بھی میں سن رہا ہوں نغمہ ہائے جاں فزا

دوڑتی ہے ساز ہستی میں تری رنگیں نوا

صہبا لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yaad Hain

Sahba Lakhnavi

jaan-e-'sahba' sach kaho paiham sahaare yaad hain
wo nigah-e-awwalin ke kya sharare yaad hain
yaad hain wo dard ki baDhti hui betabiyan
sard aahen KHushk-lab aansu ke dhaare yaad hain
wo mai-e-ulfat pila dena nigah-e-mast se
wada-e-rangin ke wo alfaz pyare yaad hain
nau-ba-nau saz-e-mohabbat ki wo naghma-sanjiyan
wo tarannum wo tabassum wo nazare yaad hain
yaad hain wo bazm-e-ishrat ki sukun-samaniyan
shab ki KHamoshi wo dariya ke kinare yaad hain
wo faza-e-ruh-parwar wo bahaar-e-jaan-faza
wasl ki shab ke tumhein wo chand tare yaad hain
meri jaanib wo bhari mahfil mein KHamoshi ke sath
apni chashm-e-mast ke rangin ishaare yaad hain
phir zara dhime suron mein gungunana sher ka
phul se jhaDte hue gardun ke tare yaad hain
aadhi aadhi raat tak sham-e-mohabbat ki bahaar
subh ki tanwir mein jalwe tumhaare yaad hain
yaad hain 'sahba' shabab-o-sher ki ranginiyan
han hadis-e-ishq ke alfaz sare yaad hain
aaj bhi main sun raha hun naghma-ha-e-jaan-faza
dauDti hai saz-e-hasti mein teri rangin nawa

(401) ووٹ وصول ہوئے

You can read Yaad Hain written by Sahba Lakhnavi at UrduPoint. Yaad Hain is one of the masterpieces written by Sahba Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sahba Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahba Lakhnavi' above.

Yaad Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Yaad Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.