Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain, Urdu Ghazal By Sahib Shreya

Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahib Shreya. Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ شب فرقت میں بھی یوں مسکرائے جا رہیں ہیں

صاحب شریہ

وہ شب فرقت میں بھی یوں مسکرائے جا رہیں ہیں

ہجر کے لمحے نہ کیوں ہم سے گزارے جا رہیں ہیں

اے خدا مجھ کو اجازت دے کہ اس کو چھو سکوں میں

کب سے ایسے چاند کو خالی نہارے جا رہیں ہیں

آسماں کے کینوس پر چاند باقی تھا بنانا

سو ترے چہرے سا اک چہرہ بنائے جا رہیں ہیں

نام لکھا پھر سے ہم نے ایک پنے پر تمہارا

اب وہی پنا تمہیں سے ہم چھپائے جا رہیں ہیں

عشق کی یہ روشنائی کم نہ ہو جائے کے ڈر سے

ہم چراغوں کی جگہ پر دل جلائے جا رہے ہیں

ایک وہ جو بھول سے بھی فون کرتے ہیں نہ ہم کو

اور پاگل ہم بزی نمبر ملائے جا رہے ہیں

سوچ لو آرام سے انکار کا کوئی بہانا

کون سا ہم چھوڑ کر یہ شہر بھاگے جا رہے ہیں

بے ادب کہہ کر مجھے رسوا کیا تھا یار جس نے

آج وہ ہر شعر پر تالی بجاے جا رہے ہیں

درد میں بھی عشق پر صاحب جو کہتے تم غزل ہو

لگ رہا خود سے ہی خود کو آپ مارے جا رہے ہیں

صاحب شریہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain

Sahib Shreya

wo shab-e-furqat mein bhi yun muskurae ja rahen hain
hijr ke lamhe na kyon hum se guzare ja rahen hain

ai KHuda mujh ko ijazat de ki us ko chhu sakun main
kab se aise chand ko KHali nihaare ja rahen hain

aasman ke canwas par chand baqi tha banana
so tere chehre sa ek chehra banae ja rahen hain

nam likha phir se hum ne ek panne par tumhaara
ab wahi panna tumhin se hum chhupae ja rahen hain

ishq ki ye raushnai kam na ho jae ke Dar se
hum charaghon ki jagah par dil jalae ja rahe hain

ek wo jo bhul se bhi phone karte hain na hum ko
aur pagal hum busy number milae ja rahe hain

soch lo aaram se inkar ka koi bahana
kaun sa hum chhoD kar ye shahar bhage ja rahe hain

be-adab kah kar mujhe ruswa kiya tha yar jis ne
aaj wo har sher par tali ba-jae ja rahe hain

dard mein bhi ishq par sahab jo kahte tum ghazal ho
lag raha KHud se hi KHud ko aap mare ja rahe hain

(497) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain written by Sahib Shreya at UrduPoint. Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain is one of the masterpieces written by Sahib Shreya. You can also find the complete poetry collection of Sahib Shreya by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahib Shreya' above.

Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Shab-e-furqat Mein Bhi Yun Muskurae Ja Rahen Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.