Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin, Urdu Ghazal By Sahib Shreya

Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahib Shreya. Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گر شور ہے دل میں بھرا تو خامشی اچھی نہیں

صاحب شریہ

گر شور ہے دل میں بھرا تو خامشی اچھی نہیں

جو غیر ہاتھوں میں پھنسی وہ زندگی اچھی نہیں

اک بار کی ہی ہار ہے اس کو نہ دل سے تو لگا

یوں زندگی سے ہار کر پھر خودکشی اچھی نہیں

جو دوست بن سج جائے وہ محفل نہیں محفل کوئی

یعنی اکیلے جشن کی کوئی خوشی اچھی نہیں

گر جسم کی ہی چاہ ہے اس کو محبت کیوں کہیں

نوچے ہوس میں جو بدن وہ تشنگی اچھی نہیں

محبوب کی آنکھیں اگر کرتی نہیں مدہوش تو

پھر چھوڑ دو یہ مے کشی یہ مے کشی اچھی نہیں

جو ہاتھ تھاما ہے مرا تو با وفا رہنا سدا

جو بے وفا ہو جاؤ تو پھر تم سکھی اچھی نہیں

کیسے خوشی اس کو کہوں جو چشم تیری نم کرے

اوروں کے غم کا ہو سبب وہ سر خوشی اچھی نہیں

صاحب جو کچھ بھی تم کرو تو فخر کے قابل کرو

دنیا کے آگے باپ کی نظریں جھکی اچھی نہیں

صاحب شریہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin

Sahib Shreya

gar shor hai dil mein bhara to KHamushi achchhi nahin
jo ghair hathon mein phansi wo zindagi achchhi nahin

ek bar ki hi haar hai is ko na dil se tu laga
yun zindagi se haar kar phir KHud-kushi achchhi nahin

jo dost bin saj jae wo mahfil nahin mahfil koi
yani akele jashn ki koi KHushi achchhi nahin

gar jism ki hi chah hai us ko mohabbat kyon kahen
noche hawas mein jo badan wo tishnagi achchhi nahin

mahbub ki aankhen agar karti nahin madhosh to
phir chhoD do ye mai-kashi ye mai-kashi achchhi nahin

jo hath thama hai mera to ba-wafa rahna sada
jo bewafa ho jao to phir tum sakhi achchhi nahin

kaise KHushi is ko kahun jo chashm teri nam kare
auron ke gham ka ho sabab wo sarKHushi achchhi nahin

sahab jo kuchh bhi tum karo to faKHr ke qabil karo
duniya ke aage bap ki nazren jhuki achchhi nahin

(468) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin written by Sahib Shreya at UrduPoint. Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin is one of the masterpieces written by Sahib Shreya. You can also find the complete poetry collection of Sahib Shreya by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahib Shreya' above.

Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gar Shor Hai Dil Mein Bhara To KHamushi Achchhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.