Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana, Urdu Ghazal By Sahir Siyalkoti

Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Siyalkoti. Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حقیقت میں وہی اک شخص ہے دنیا میں فرزانہ

ساحر سیالکوٹی

حقیقت میں وہی اک شخص ہے دنیا میں فرزانہ

جسے تم آئے دن کہتے ہو یہ ہے کوئی دیوانہ

بھرم قائم ہے تیرے نام سے دونوں کا دنیا میں

حقیقت میں ترا مسکن نہ کعبہ ہے نہ بت خانہ

دل شیدا کی فطرت کو کوئی سمجھے تو کیا سمجھے

یہ فرزانے کا فرزانہ یہ دیوانے کا دیوانہ

محبت نے لگا دی آگ دونوں کو برابر کی

ادھر تو شمع جلتی ہے ادھر جلتا ہے پروانہ

نہ پوچھو ہم سے اندازہ یہ ہے توہین پینے کی

ہمارے میکدے میں کوئی شیشہ ہے نہ پیمانہ

رضا کاران الفت موت سے خائف نہیں ہوتے

ہمیشہ آگ ہی سے کھیلتا رہتا ہے پروانہ

مذمت مے کی کرنے آئے ہو میخانے میں واعظ

ذرا سوچو تو یہ بھی کام ہے کوئی شریفانہ

تمنا حور و غلماں کی مبارک ہو تجھے واعظ

ہمیں تو یہ بتا جنت میں ہوگا کوئی مے خانہ

پرائی آگ میں جلنا بہت دشوار ہے ساحرؔ

یہ کام انساں کو لازم تھا مگر کرتا ہے پروانہ

ساحر سیالکوٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana

Sahir Siyalkoti

haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana
jise tum aae din kahte ho ye hai koi diwana

bharam qaem hai tere nam se donon ka duniya mein
haqiqat mein tera maskan na kaba hai na but-KHana

dil-e-shaida ki fitrat ko koi samjhe to kya samjhe
ye farzane ka farzana ye diwane ka diwana

mohabbat ne laga di aag donon ko barabar ki
idhar to shama jalti hai udhar jalta hai parwana

na puchho hum se andaza ye hai tauhin pine ki
hamare mai-kade mein koi shisha hai na paimana

raza-karan-e-ulfat maut se KHaif nahin hote
hamesha aag hi se khelta rahta hai parwana

mazammat mai ki karne aae ho maiKHane mein waiz
zara socho to ye bhi kaam hai koi sharifana

tamanna hur-o-ghilman ki mubarak ho tujhe waiz
hamein tu ye bata jannat mein hoga koi mai-KHana

parai aag mein jalna bahut dushwar hai 'sahir'
ye kaam insan ko lazim tha magar karta hai parwana

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana written by Sahir Siyalkoti at UrduPoint. Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana is one of the masterpieces written by Sahir Siyalkoti. You can also find the complete poetry collection of Sahir Siyalkoti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Siyalkoti' above.

Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haqiqat Mein Wahi Ek ShaKHs Hai Duniya Mein Farzana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.