Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein, Urdu Ghazal By Sahir Siyalkoti

Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Siyalkoti. Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے اضطراب دل میں تو دل اضطراب میں

ساحر سیالکوٹی

ہے اضطراب دل میں تو دل اضطراب میں

ڈالا ہے تم نے مجھ کو عجب پیچ و تاب میں

ڈھونڈیں گے ایک دن مجھے خود جلوہ ہائے حسن

دیکھوں گا میں رہیں گے وہ کب تک حجاب میں

اک حسن برق پاش کی دن رات ہے تلاش

اپنی قضا کو ڈھونڈ رہا ہوں شباب میں

ہم نے جنوں کو عقل کہا عقل کو جنوں

کیا نکتہ رس تھا عشق ہمارا شباب میں

اجزا یہی ہیں نسخۂ آب حیات کے

کچھ مستیٔ نگاہ ملا دو شراب میں

پھر ہو رہی ہے پرسش اعمال روز حشر

یا رب سزائے موت گئی کس حساب میں

گیسو دراز مست نظر چہرہ آفتاب

اب کچھ کمی نہیں ہے تمہارے شباب میں

خط میں کھری کھری بھی سنائی ہیں کچھ انہیں

مطلب یہ ہے کریں نہ توقف جواب میں

دنیائے عقل و ہوش میں ساحرؔ کسے نصیب

وہ کیف بے خودی جو ہے بزم شراب میں

ساحر سیالکوٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein

Sahir Siyalkoti

hai iztirab dil mein to dil iztirab mein
Dala hai tum ne mujh ko ajab pech-o-tab mein

DhunDenge ek din mujhe KHud jalwa-ha-e-husn
dekhunga main rahenge wo kab tak hijab mein

ek husn-e-barq-pash ki din raat hai talash
apni qaza ko DhunD raha hun shabab mein

hum ne junun ko aql kaha aql ko junun
kya nukta-ras tha ishq hamara shabab mein

ajza yahi hain nusKHa-e-ab-e-hayat ke
kuchh masti-e-nigah mila do sharab mein

phir ho rahi hai pursish-e-amal roz-e-hashr
yarab saza-e-maut gai kis hisab mein

gesu daraaz mast nazar chehra aaftab
ab kuchh kami nahin hai tumhaare shabab mein

KHat mein khari khari bhi sunai hain kuchh unhen
matlab ye hai karen na tawaqquf jawab mein

duniya-e-aql-o-hosh mein 'sahir' kise nasib
wo kaif-e-be-KHudi jo hai bazm-e-sharab mein

(481) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein written by Sahir Siyalkoti at UrduPoint. Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein is one of the masterpieces written by Sahir Siyalkoti. You can also find the complete poetry collection of Sahir Siyalkoti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Siyalkoti' above.

Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Iztirab Dil Mein To Dil Iztirab Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.