Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad, Urdu Ghazal By Saif Bijnori

Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saif Bijnori. Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی مقام نہیں حد اعتبار کے بعد

سیف بجنوری

کوئی مقام نہیں حد اعتبار کے بعد

کہاں میں سجدہ کروں آستان یار کے بعد

اٹھوں تو جاؤں کہاں جائے پر بہار کے بعد

کہیں پناہ نہیں ان کی رہ گزار کے بعد

کہاں کا عزم ہے اے دل حصول کار کے بعد

اب اور بھی کوئی کعبہ ہے کوئے یار کے بعد

تباہ ہم ہوئے بیم و رجا میں آخر کار

کچھ انتظار سے پہلے کچھ انتظار کے بعد

گلا نہیں ہے جفا کا مگر سوال یہ ہے

ستائیں گے کسے پھر آپ جاں نثار کے بعد

کسے خبر ہے کہ گزرے گی اس اسیر پہ کیا

قفس ملے جسے رنگینیٔ بہار کے بعد

سحر کے ہوتے ہی رخصت ہوا مریض فراق

جہاں میں کام ہی کیا تھا اب انتظار کے بعد

کسی سے مشورۂ ترک عشق سیفؔ نہ کر

نہ سن کسی کی دل آزمودہ کار کے بعد

سیف بجنوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad

Saif Bijnori

koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad
kahan main sajda karun aastan-e-yar ke baad

uThun to jaun kahan ja-e-pur-bahaar ke baad
kahin panah nahin un ki rahguzar ke baad

kahan ka azm hai ai dil husul-e-kar ke baad
ab aur bhi koi kaba hai ku-e-yar ke baad

tabah hum hue bim-o-raja mein aaKHir-e-kar
kuchh intizar se pahle kuchh intizar ke baad

gila nahin hai jafa ka magar sawal ye hai
sataenge kise phir aap jaan-nisar ke baad

kise KHabar hai ki guzregi is asir pe kya
qafas mile jise rangini-e-bahaar ke baad

sahar ke hote hi ruKHsat hua mariz-e-firaq
jahan mein kaam hi kya tha ab intizar ke baad

kisi se mashwara-e-tark-e-ishq 'saif' na kar
na sun kisi ki dil aazmuda-kar ke baad

(377) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad written by Saif Bijnori at UrduPoint. Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad is one of the masterpieces written by Saif Bijnori. You can also find the complete poetry collection of Saif Bijnori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saif Bijnori' above.

Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Maqam Nahin Hadd-e-eatibar Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.