Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہزار شکر کبھی تیرا آسرا نہ گیا

سجاد باقر رضوی

ہزار شکر کبھی تیرا آسرا نہ گیا

مگر یہ ہے دل آدم کہ وسوسہ نہ گیا

وہ جب کہ زیست بھی اک فن تھی وہ زمانہ گیا

اب ایک چیخ کہ انداز‌ شاعرانہ گیا

بہت ہی شور تھا اہل جنوں کا پر اب کے

خرد سے آ کے کوئی زور آزما نہ گیا

چلی ہے اب کے برس وہ ہوائے شدت برف

دیار دل کی طرف کوئی قافلہ نہ گیا

بہت ہی سستی ہے بازار جاں میں جنس وفا

ارے یہ قحط طلب دل کا کارخانہ گیا

میں توڑ توڑ کے خود کو بناتا رہتا ہوں

اب ایک عمر ہوئی پھر بھی بچپنا نہ گیا

بس ایک گھونٹ محبت کا پی کے پچھتائے

تمام عمر وہ اک تلخ ذائقہ نہ گیا

کبھی بکھر گئے باتوں میں مثل نگہت گل

کبھی کلی کی طرح منہ سے کچھ کہا نہ گیا

گمان یہ تھا کہ بس دو قدم ہے اس کی گلی

قدم اٹھے تو یہی دو قدم چلا نہ گیا

میں ایک برگ خزاں دیدہ ہوں زمین کا بوجھ

ہوائے دہر ترے دوش پر اڑا نہ گیا

برنگ گل رہے ہم بھی مزاج دان بہار

بس ایک بار ہنسے پھر کبھی ہنسا نہ گیا

اب آؤ دن کی کہانی لکھیں کوئی باقرؔ

کہ رات ختم ہوئی رات کا فسانہ گیا

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya

Sajjad Baqar Rizvi

hazar shukr kabhi tera aasra na gaya
magar ye hai dil-e-adam ki waswasa na gaya

wo jab ki zist bhi ek fan thi wo zamana gaya
ab ek chiKH ki andaz-e-shairana gaya

bahut hi shor tha ahal junun ka par ab ke
KHirad se aa ke koi zor aazma na gaya

chali hai ab ke baras wo hawa-e-shiddat-e-barf
dayar-e-dil ki taraf koi qafila na gaya

bahut hi sasti hai bazar-e-jaan mein jins-e-wafa
are ye qaht-talab dil ka karKHana gaya

main toD toD ke KHud ko banata rahta hun
ab ek umr hui phir bhi bachpana na gaya

bas ek ghunT mohabbat ka pi ke pachhtae
tamam umr wo ek talKH zaiqa na gaya

kabhi bikhar gae baaton mein misl-e-nighat-e-gul
kabhi kali ki tarah munh se kuchh kaha na gaya

guman ye tha ki bas do-qadam hai us ki gali
qadam uThe to yahi do-qadam chala na gaya

main ek barg-e-KHizan-dida hun zamin ka bojh
hawa-e-dahr tere dosh par uDa na gaya

ba-rang-e-gul rahe hum bhi mizaj-dan-e-bahaar
bas ek bar hanse phir kabhi hansa na gaya

ab aao din ki kahani likhen koi 'baqar'
ki raat KHatm hui raat ka fasana gaya

(406) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hazar Shukr Kabhi Tera Aasra Na Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.