KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne, Urdu Ghazal By Salahuddin Faiq Burhanpuri

KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salahuddin Faiq Burhanpuri. KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزاں سے کون سی شے چھین لی بہاروں نے

صلاح الدین فائق برہانپوری

خزاں سے کون سی شے چھین لی بہاروں نے

گلوں کو آنکھ دکھائی چمن میں خاروں نے

چھپا چھپا کے رکھا تھا جسے بہاروں نے

اگل دیا ہے وہی خون لالہ زاروں نے

قدم قدم پہ ہزاروں فریب ہیں ساقی

ارادے نیک تو باندھے ہیں بادہ خواروں نے

اسی مقام پہ پہنچے ہیں تیرے دیوانے

جہاں سے آنکھ چرائی تھی ہوشیاروں نے

مرے جمال کا ہر آئنہ ابھر آیا

یہ ساز کون سے چھیڑے ہیں آبشاروں نے

قدم قدم پہ تجلی نظر نظر جلوہ

کہاں بلایا ہے موسیٰ کو کوہساروں نے

شب فراق امیدوں کی لو بھی کانپ اٹھی

کچھ ایسے گیت بھی گائے ہیں چاند تاروں نے

امید و بیم کے آئینے متصل رکھ کر

حیات نو مجھے بخشی ترے سہاروں نے

یہ اتفاق ہے ان کو وفا نہ راس آئی

بہایا خون جگر تیرے جاں نثاروں نے

دعا ہے پھر بھی سلامت رہے یہ مے خانہ

عوض میں مے کے پیا خون بادہ خواروں نے

سکوں کی بھیک تو مانگی نہ تھی کبھی میں نے

کرم کیا ہے کہاں میرے غم گساروں نے

چبھو دئے ہیں دلوں میں جو خار غم تم نے

انہیں سے زخم کریدے وفا شعاروں نے

کہاں کا ذوق نظر خود نظر ہے گم فائقؔ

چھپا لیا ہے مجھے یوں ترے نظاروں نے

صلاح الدین فائق برہانپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne

Salahuddin Faiq Burhanpuri

KHizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne
gulon ko aankh dikhai chaman mein KHaron ne

chhupa chhupa ke rakha tha jise bahaaron ne
ugal diya hai wahi KHun lala-zaron ne

qadam qadam pe hazaron fareb hain saqi
irade nek to bandhe hain baada-KHwaron ne

usi maqam pe pahunche hain tere diwane
jahan se aankh churai thi hoshyaron ne

mere jamal ka har aaina ubhar aaya
ye saz kaun se chheDe hain aabshaaron ne

qadam qadam pe tajalli nazar nazar jalwa
kahan bulaya hai musa ko kohsaron ne

shab-e-firaq umidon ki lau bhi kanp uThi
kuchh aise git bhi gae hain chand taron ne

umid-o-bim ke aaine muttasil rakh kar
hayat-e-nau mujhe baKHshi tere sahaaron ne

ye ittifaq hai in ko wafa na ras aai
bahaya KHun jigar tere jaan-nisaron ne

dua hai phir bhi salamat rahe ye mai-KHana
ewaz mein mai ke piya KHun baada-KHwaron ne

sukun ki bhik to mangi na thi kabhi main ne

karam kiya hai kahan mere gham-gusaron ne

chubho diye hain dilon mein jo KHar-e-gham tum ne
unhin se zaKHm kurede wafa-shiaron ne

kahan ka zauq-e-nazar KHud nazar hai gum 'faiq'
chhupa liya hai mujhe yun tere nazaron ne

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne written by Salahuddin Faiq Burhanpuri at UrduPoint. KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne is one of the masterpieces written by Salahuddin Faiq Burhanpuri. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Faiq Burhanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Faiq Burhanpuri' above.

KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHizan Se Kaun Si Shai Chhin Li Bahaaron Ne, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.