Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai, Urdu Ghazal By Saleem Betab

Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Betab. Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قبضہ مرے بدن پہ مری خواہشوں کا ہے

سلیم بیتاب

قبضہ مرے بدن پہ مری خواہشوں کا ہے

بستی مری پہ راج مرے دشمنوں کا ہے

قلب و نظر میں نور نئے تجربوں کا ہے

احسان کس قدر یہ بدلتی رتوں کا ہے

چہرے سے دھل چکی مری بیداریوں کی راکھ

آنکھوں میں کچھ خمار ابھی رتجگوں کا ہے

تو سو رہا تھا اور میں دستک نہ دے سکا

کتنا خیال مجھ کو تری راحتوں کا ہے

شاید وہ آج میری طرح ہی تھا بے قرار

یا یہ بھی کوئی عکس مری الجھنوں کا ہے

چلتی ہے جس طرح سے تری نبض تیز تیز

انداز ہو بہ ہو یہ مری دھڑکنوں کا ہے

جن کے طفیل سبز ہے کہسار کا بدن

سیلاب وادیوں میں انہیں بارشوں کا ہے

دیوانگی میں میری نہیں ہے کسی کا ہاتھ

سارا قصور اس میں مری عادتوں کا ہے

دل مضطرب ہے اور سیاحت ہے بے مزہ

جادو ابھی ہمارے سروں پر گھروں کا ہے

کیا جانیں کس طرح سے اسے طے کریں گے ہم

درپیش اک سفر جو گھنے جنگلوں کا ہے

بیتابؔ اپنے حال پہ ماتم نہ کیوں کروں

مجھ کو ابھی تو رنج لٹی ساعتوں کا ہے

سلیم بیتاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai

Saleem Betab

qabza mere badan pe meri KHwahishon ka hai
basti meri pe raj mere dushmanon ka hai

qalb-o-nazar mein nur nae tajrabon ka hai
ehsan kis qadar ye badalti ruton ka hai

chehre se dhul chuki meri bedariyon ki rakh
aankhon mein kuchh KHumar abhi ratjagon ka hai

tu so raha tha aur main dastak na de saka
kitna KHayal mujh ko teri rahaton ka hai

shayad wo aaj meri tarah hi tha be-qarar
ya ye bhi koi aks meri uljhanon ka hai

chalti hai jis tarah se teri nabz tez tez
andaz hu-ba-hu ye meri dhaDkanon ka hai

jin ke tufail sabz hai kohsar ka badan
sailab wadiyon mein unhen barishon ka hai

diwangi mein meri nahin hai kisi ka hath
sara qusur us mein meri aadaton ka hai

dil muztarib hai aur siyahat hai be-maza
jadu abhi hamare saron par gharon ka hai

kya jaanen kis tarah se use tai karenge hum
darpesh ek safar jo ghane jangalon ka hai

'betab' apne haal pe matam na kyun karun
mujh ko abhi to ranj luTi saaton ka hai

(482) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai written by Saleem Betab at UrduPoint. Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai is one of the masterpieces written by Saleem Betab. You can also find the complete poetry collection of Saleem Betab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Betab' above.

Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qabza Mere Badan Pe Meri KHwahishon Ka Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.