Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De, Urdu Ghazal By Saleem Siddiqi

Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Siddiqi. Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عارضی آسائشوں کی چاہ کرنا چھوڑ دے

سلیم صدیقی

عارضی آسائشوں کی چاہ کرنا چھوڑ دے

فکر عقبیٰ ذہن میں رکھ فکر دنیا چھوڑ دے

کچھ عمل کا ذکر کر کچھ بات کر کردار کی

قیصر و کسریٰ کا اب تو خواب بننا چھوڑ دے

کشتیاں بھی بادبانوں کی نہیں محتاج اب

عارضی ہو جو سہارا وہ سہارا چھوڑ دے

زندگی اندوہ غم میں گھٹ کے رہ جائے اگر

جذبۂ غم آنسوؤں کی شکل بہنا چھوڑ دے

وصل کا وعدہ کیا ہے تو اسے پورا بھی کر

یہ نیا ہر روز کا حیلہ بہانا چھوڑ دے

ایک دن تو دل کو بھی ترجیح دے کر دیکھ لوں

عقل سے کہہ دو کہ مجھ کو آج تنہا چھوڑ دے

کاش آ جائے پلٹ کر وہ سنہرا دور پھر

بھائی بھائی کے لئے منہ کا نوالا چھوڑ دے

اپنے ہاتھوں سے کمانے کی لگن دل میں نہیں

چاہتا ہے آج بیٹا باپ ورثا چھوڑ دے

دیکھ کھا جائیں نہ آہیں بیکس و مظلوم کی

اے امیر شہر اب بھی ظلم ڈھانا چھوڑ دے

ملک کی گلیاں لہو پینے کی عادی ہو نہ جائیں

یہ تعصب زہر کا ذہنوں میں بھرنا چھوڑ دے

مذہبی جذبات کے سارے پٹارے بند کر

اے سیاست کے مداری یہ تماشا چھوڑ دے

چاند کو چھونے کی کوشش احمقانہ فعل ہے

جو نہ حاصل ہو سکے اس کی تمنا چھوڑ دے

تا قیامت یاد رکھے تجھ کو یہ دنیا سلیمؔ

اپنے کردار و عمل کا نقش ایسا چھوڑ دے

سلیم صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De

Saleem Siddiqi

aarzi aasaishon ki chah karna chhoD de
fikr-e-uqba zehn mein rakh fikr-e-duniya chhoD de

kuchh amal ka zikr kar kuchh baat kar kirdar ki
qaisar-o-kisra ka ab to KHwab bunna chhoD de

kashtiyan bhi baadbanon ki nahin muhtaj ab
aarzi ho jo sahaara wo sahaara chhoD de

zindagi andoh-e-gham mein ghuT ke rah jae agar
jazba-e-gham aansuon ki shakl bahna chhoD de

wasl ka wada kiya hai to ise pura bhi kar
ye naya har roz ka hila bahana chhoD de

ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh lun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanha chhoD de

kash aa jae palaT kar wo sunahra daur phir
bhai bhai ke liye munh ka niwala chhoD de

apne hathon se kamane ki lagan dil mein nahin
chahta hai aaj beTa bap wirsa chhoD de

dekh kha jaen na aahen be-kas-o-mazlum ki
ai amir-e-shahr ab bhi zulm Dhana chhoD de

mulk ki galiyan lahu pine ki aadi ho na jaen
ye tassub zahr ka zehnon mein bharna chhoD de

mazhabi jazbaat ke sare piTare band kar
ai siyasat ke madari ye tamasha chhoD de

chand ko chhune ki koshish ahmaqana feal hai
jo na hasil ho sake us ki tamanna chhoD de

ta-qayamat yaad rakkhe tujh ko ye duniya 'salim'
apne kirdar-o-amal ka naqsh aisa chhoD de

(374) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De written by Saleem Siddiqi at UrduPoint. Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De is one of the masterpieces written by Saleem Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Saleem Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Siddiqi' above.

Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aarzi Aasaishon Ki Chah Karna ChhoD De, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.