Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath, Urdu Ghazal By Saleem Waqif

Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Waqif. Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کھلے گا عقدۂ توحید میری بات کے ساتھ

سلیم واقف

کھلے گا عقدۂ توحید میری بات کے ساتھ

صفت بھی رہتی ہے ہر وقت اپنی ذات کے ساتھ

کہیں پہ بکھری ہے تنہائی میرے کمرے میں

کہیں پہ بکھری ہیں تصویریں کاغذات کے ساتھ

میں اس سے ہار کے ہر پل دعائیں مانگتا ہوں

کہ اس کی جیت بھی ہو جائے میری مات کے ساتھ

وہ کل جو لاٹھی کو اک اژدہا بناتا تھا

وہ معجزہ کہیں گم ہے عجائبات کے ساتھ

یہ سارا پڑھنا پڑھانا ہے پیٹ کا چکر

کہ اہل علم بھی بکتے ہیں پارچات کے ساتھ

کہیں پہ دین کے چرچے ہیں کفر سے واقفؔ

کہیں پہ کفر کے چرچے ہیں دینیات کے ساتھ

سلیم واقف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath

Saleem Waqif

khulega uqda-e-tauhid meri baat ke sath
sifat bhi rahti hai har waqt apni zat ke sath

kahin pe bikhri hai tanhai mere kamre mein
kahin pe bikhri hain taswiren kaghzat ke sath

main us se haar ke har pal duaen mangta hun
ki us ki jit bhi ho jae meri mat ke sath

wo kal jo laThi ko ek azhdaha banata tha
wo moajiza kahin gum hai ajaibaat ke sath

ye sara paDhna paDhana hai peT ka chakkar
ki ahl-e-ilm bhi bikte hain parchat ke sath

kahin pe din ke charche hain kufr se 'waqif'
kahin pe kufr ke charche hain diniyat ke sath

(290) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath written by Saleem Waqif at UrduPoint. Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath is one of the masterpieces written by Saleem Waqif. You can also find the complete poetry collection of Saleem Waqif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Waqif' above.

Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Khulega Uqda-e-tauhid Meri Baat Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.