KHwahishon Ka Adab Kiya Maine, Urdu Ghazal By Salim Shuja Ansari

KHwahishon Ka Adab Kiya Maine is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salim Shuja Ansari. KHwahishon Ka Adab Kiya Maine comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwahishon Ka Adab Kiya Maine on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواہشوں کا ادب کیا میں نے

سالم شجاع انصاری

خواہشوں کا ادب کیا میں نے

حسب حاجت طلب کیا میں نے

ایک سچائی کو کیا سجدہ

اک حقیقت کو رب کیا میں نے

جانے اب کس لئے خفا ہو تم

جو کہا تم نے سب کیا میں نے

جھک گئی ہر نظر عقیدت سے

آپ کا ذکر جب کیا میں نے

اپنی خوشیوں سے پھیر کر نظریں

غم ترا منتخب کیا میں نے

بھول سے بھول ہو گئی ہوگی

جرم دانستہ کب کیا میں نے

سچ کا اظہار کر دیا سالمؔ

اف یہ کیسا غضب کیا میں نے

سالم شجاع انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwahishon Ka Adab Kiya Maine

Salim Shuja Ansari

KHwahishon ka adab kiya main ne
hasb-e-hajat talab kiya main ne

ek sachchai ko kiya sajda
ek haqiqat ko rab kiya main ne

jaane ab kis liye KHafa ho tum
jo kaha tum ne sab kiya main ne

jhuk gai har nazar aqidat se
aap ka zikr jab kiya main ne

apni KHushiyon se pher kar nazren
gham tera muntaKHab kiya main ne

bhul se bhul ho gai hogi
jurm danista kab kiya main ne

sach ka izhaar kar diya 'salim'
uf ye kaisa ghazab kiya main ne

(459) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHwahishon Ka Adab Kiya Maine written by Salim Shuja Ansari at UrduPoint. KHwahishon Ka Adab Kiya Maine is one of the masterpieces written by Salim Shuja Ansari. You can also find the complete poetry collection of Salim Shuja Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salim Shuja Ansari' above.

KHwahishon Ka Adab Kiya Maine is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwahishon Ka Adab Kiya Maine, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.