KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe, Urdu Ghazal By Saqi Amrohvi

KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqi Amrohvi. KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe comes under the Sad, Social, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا نے کیوں دل درد آشنا دیا ہے مجھے

ساقی امروہوی

خدا نے کیوں دل درد آشنا دیا ہے مجھے

اس آگہی نے تو پاگل بنا دیا ہے مجھے

تمہی کو یاد نہ کرتا تو اور کیا کرتا

تمہارے بعد سبھی نے بھلا دیا ہے مجھے

صعوبتوں میں سفر کی کبھی جو نیند آئی

مرے بدن کی تھکن نے اٹھا دیا ہے مجھے

میں وہ چراغ ہوں جو آندھیوں میں روشن تھا

خود اپنے گھر کی ہوا نے بجھا دیا ہے مجھے

بس ایک تحفۂ افلاس کے سوا ساقیؔ

مشقتوں نے مری اور کیا دیا ہے مجھے

ساقی امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe

Saqi Amrohvi

KHuda ne kyun dil-e-dard-ashna diya hai mujhe
is aagahi ne to pagal bana diya hai mujhe

tumhi ko yaad na karta to aur kya karta
tumhaare baad sabhi ne bhula diya hai mujhe

saubaton mein safar ki kabhi jo nind aai
mere badan ki thakan ne uTha diya hai mujhe

main wo charagh hun jo aandhiyon mein raushan tha
KHud apne ghar ki hawa ne bujha diya hai mujhe

bas ek tohfa-e-iflas ke siwa 'saqi'
mashaqqaton ne meri aur kya diya hai mujhe

(2636) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe written by Saqi Amrohvi at UrduPoint. KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe is one of the masterpieces written by Saqi Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Saqi Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqi Amrohvi' above.

KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda Ne Kyun Dil-e-dard-ashna Diya Hai Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.