Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah, Urdu Ghazal By Saqib Azimabadi

Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Azimabadi. Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لاکھوں حسیں ملے ہیں طرحدار کی طرح

ثاقب عظیم آبادی

لاکھوں حسیں ملے ہیں طرحدار کی طرح

لیکن ملا نہ کوئی مرے یار کی طرح

قاتل ہے کون ابروئے خم دار کی طرح

چبھنے میں تیر کاٹ میں تلوار کی طرح

ہے دائرہ حیات کا زنجیر کی مثال

گردش میں لوگ رہتے ہیں پرکار کی طرح

منزل کی سمت کیوں نہ اٹھے شوق کا قدم

ہم راہ دل ہے قافلہ سالار کی طرح

مجموعۂ تضاد ہوئی ان کی گفتگو

اقرار بھی وہ کرتے ہیں انکار کی طرح

ہم وحشیوں کا حال جو وہ دیکھنے چلے

صحرا بھی ہو گیا ہے چمن زار کی طرح

دشت جنوں میں آبلہ پا کو سکوں کہاں

فرش زمیں ہے بستر سوفار کی طرح

وعدہ جو کر رہے ہیں تو پورا بھی کیجئے

دھوکا نہ دیجئے مجھے ہر بار کی طرح

وہ پیکر جمال سراپا نظارہ تھا

اپنی خودی حجاب تھی دیوار کی طرح

ثاقب عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah

Saqib Azimabadi

lakhon hasin mile hain tarahdar ki tarah
lekin mila na koi mere yar ki tarah

qatil hai kaun abru-e-KHamdar ki tarah
chubhne mein tir kaT mein talwar ki tarah

hai daera hayat ka zanjir ki misal
gardish mein log rahte hain parkar ki tarah

manzil ki samt kyon na uThe shauq ka qadam
hamrah dil hai qafila-salar ki tarah

majmua-e-tazad hui un ki guftugu
iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah

hum wahshiyon ka haal jo wo dekhne chale
sahra bhi ho gaya hai chaman-zar ki tarah

dasht-e-junun mein aabla-pa ko sukun kahan
farsh-e-zamin hai bistar-e-sufar ki tarah

wada jo kar rahe hain to pura bhi kijiye
dhoka na dijiye mujhe har bar ki tarah

wo paikar-e-jamal sarapa nazara tha
apni KHudi hijab thi diwar ki tarah

(528) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah written by Saqib Azimabadi at UrduPoint. Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah is one of the masterpieces written by Saqib Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Azimabadi' above.

Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Lakhon Hasin Mile Hain Tarahdar Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.