BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بڑے شباب پہ درد فراق مستی ہے

ثاقب لکھنوی

بڑے شباب پہ درد فراق مستی ہے

نہ ہو شراب تو پہروں گھٹا برستی ہے

نہ شمع روتی ہے آ کر نہ برق ہنستی ہے

میں جب سے قبر میں ہوں بیکسی برستی ہے

سنے تو کون سنے میکدے میں واعظ کی

یہاں وہی ہیں جنہیں شغل مے پرستی ہے

میں سخت جاں نہیں خنجر بھی تیز ہے لیکن

نگاہ یاس ہے قاتل کی تیز دستی ہے

بھرے ہوؤں کو بھرا کرتے ہیں کرم والے

جہاں ہے سبزہ گھٹا بھی وہیں برستی ہے

غلط ہے زیر نگیں ہو کے دعویٔ وسعت

بس ایک حلقۂ خاتم فضائے ہستی ہے

ہزار خواہش دل ہے مگر نہ مانگوں گا

سبوئے‌ مے کدہ پر وقت تنگدستی ہے

میں سن کے آیا تھا آبادیٔ عدم لیکن

کوئی نظر نہیں آتا یہ کیسی بستی ہے

چمن نہ دیکھ نشیمن کو دیکھ اے بلبل

بہار ہی میں کبھی آگ بھی برستی ہے

جلاؤں شمع تو آخر جلا کے دیکھوں کیا

ہر ایک رات یہاں شغل‌‌ غم پرستی ہے

نہیں ہے دہر میں یار اے دم زدن ثاقبؔ

بس ایک سانس میں طے ماجرائے ہستی ہے

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai

Saqib Lakhnavi

baDe shabab pe dard-e-firaq-e-masti hai
na ho sharab to pahron ghaTa barasti hai

na shama roti hai aa kar na barq hansti hai
main jab se qabr mein hun bekasi barasti hai

sune to kaun sune mai-kade mein waiz ki
yahan wahi hain jinhen shaghl-e-mai-parasti hai

main saKHt-jaan nahin KHanjar bhi tez hai lekin
nigah-e-yas hai qatil ki tez-dasti hai

bhare huon ko bhara karte hain karam wale
jahan hai sabza ghaTa bhi wahin barasti hai

ghalat hai zer-e-nagin ho ke dawa-e-wusat
bas ek halqa-e-KHatam faza-e-hasti hai

hazar KHwahish-e-dil hai magar na mangunga
subu-e-mai-kada par waqt-e-tang-dasti hai

main sun ke aaya tha aabaadi-e-adam lekin
koi nazar nahin aata ye kaisi basti hai

chaman na dekh nasheman ko dekh ai bulbul
bahaar hi mein kabhi aag bhi barasti hai

jalaun shama to aaKHir jala ke dekhun kya
har ek raat yahan shaghl-e-gham-parasti hai

nahin hai dahr mein yar ai dam-zadan 'saqib'
bas ek sans mein tai majra-e-hasti hai

(273) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaDe Shabab Pe Dard-e-firaq-e-masti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.