Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا دل داد خواہ ظلم اصلاً ہو نہیں سکتا

ثاقب لکھنوی

مرا دل داد خواہ ظلم اصلاً ہو نہیں سکتا

مروت منہ کو سی دیتی ہے شکوا ہو نہیں سکتا

چھپاؤ آپ کو جس رنگ یا جس بھیس میں چاہو

مگر چشم حقیقت بیں سے پردا ہو نہیں سکتا

تماشا گاہ حیرت ہے دیار دل کی ویرانی

یہ سناٹا میان دشت و صحرا ہو نہیں سکتا

بڑھا ایک اور غم افشائے راز عشق سے ورنہ

نہ میں کھلتا نہ وہ کہتے کہ ایسا ہو نہیں سکتا

مرے ظلمت کدہ میں روز روشن کا گزر کیسا

سلامت ہے شب غم تو اجالا ہو نہیں سکتا

دم عہد و وفا ٹھہرا نہ ان کے سامنے کوئی

سوا میرے تو میں کس دل سے کہتا ہو نہیں سکتا

کبھی کج‌ طبع کو دیکھا نہ سیدھی راہ پر آتے

جو ہے دراصل بد باطن وہ اچھا ہو نہیں سکتا

نہ ہوں سنگ در مے خانہ اہل زہد اے ثاقبؔ

کہ میں پابند رسم و راہ تقویٰ ہو نہیں سکتا

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta

Saqib Lakhnavi

mera dil dad-KHwah-e-zulm aslan ho nahin sakta
murawwat munh ko si deti hai shikwa ho nahin sakta

chhupao aap ko jis rang ya jis bhes mein chaho
magar chashm-e-haqiqat-bin se parda ho nahin sakta

tamasha-gah-e-hairat hai dayar-e-dil ki virani
ye sannaTa miyan-e-dasht-o-sahra ho nahin sakta

baDha ek aur gham ifsha-e-raaz-e-ishq se warna
na main khulta na wo kahte ki aisa ho nahin sakta

mere zulmat-kade mein roz-e-raushan ka guzar kaisa
salamat hai shab-e-gham to ujala ho nahin sakta

dam-e-ahd-o-wafa Thahra na un ke samne koi
siwa mere to main kis dil se kahta ho nahin sakta

kabhi kaj-taba ko dekha na sidhi rah par aate
jo hai dar-asl bad-baatin wo achchha ho nahin sakta

na hon sang-e-dar-e-mai-KHana ahl-e-zohd ai 'saqib'
ki main paband-e-rasm-o-rah-e-taqwa ho nahin sakta

(405) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Dil Dad-KHwah-e-zulm Aslan Ho Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.