Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha, Urdu Ghazal By Saqib Rampuri

Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Rampuri. Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فراق دوست میں ایسا مری وحشت کا ساماں تھا

ثاقب رامپوری

فراق دوست میں ایسا مری وحشت کا ساماں تھا

کہ وسعت میں ہر اک ذرہ مرے گھر کا بیاباں تھا

بتائے شوق دل اس بزم میں جانا کچھ آساں تھا

ادھر تقدیر سوتی تھی ادھر بیدار درباں تھا

گلے مل کر جدا ہونا مرے مٹنے کا ساماں تھا

ترے جاتے ہی میں دیوانہ میرا گھر بیاباں تھا

جنون عشق رہبر ہو تو پھر کیا قید منزل کی

وہ مجنوں ہوں کہ دشت نجد مجھ کو ہر بیاباں تھا

میں بے خود تھا مگر اے جوش وحشت ہوش ہے اتنا

مرے ہاتھوں سے خود الجھا ہوا میرا گریباں تھا

وطن کی خاک تجھ کو یاد کر کے ہم بہت روئے

کہ تجھ سے دور تھے اور شام غربت تھی بیاباں تھا

کسی سے اپنی بربادی کا شکوہ کیا کروں ثاقبؔ

کہ میرا ہی دل وارفتہ میرا دشمن جاں تھا

ثاقب رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha

Saqib Rampuri

firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha
ki wusat mein har ek zarra mere ghar ka bayaban tha

batae shauq-e-dil us bazm mein jaana kuchh aasan tha
idhar taqdir soti thi udhar bedar darban tha

gale mil kar juda hona mere miTne ka saman tha
tere jate hi main diwana mera ghar bayaban tha

junun-e-ishq rahbar ho to phir kya qaid manzil ki
wo majnun hun ki dasht-e-najd mujh ko har bayaban tha

main be-KHud tha magar ai josh-e-wahshat hosh hai itna
mere hathon se KHud uljha hua mera gareban tha

watan ki KHak tujh ko yaad kar ke hum bahut roe
ki tujh se dur the aur sham-e-ghurbat thi bayaban tha

kisi se apni barbaadi ka shikwa kya karun 'saqib'
ki mera hi dil-e-warafta mera dushman-e-jaan tha

(446) ووٹ وصول ہوئے

You can read Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha written by Saqib Rampuri at UrduPoint. Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha is one of the masterpieces written by Saqib Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Saqib Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Rampuri' above.

Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Firaq-e-dost Mein Aisa Meri Wahshat Ka Saman Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.