Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain, Urdu Ghazal By Sardar Genda Singh Mashriqi

Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Genda Singh Mashriqi. Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الٰہی خیر ہو وہ آج کیوں کر تن کے بیٹھے ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

الٰہی خیر ہو وہ آج کیوں کر تن کے بیٹھے ہیں

کسی کے قتل کرنے کو بھبھوکا بن کے بیٹھے ہیں

سبک سر ہے وہی جو دوسروں کے گھر پہ جاتا ہے

جو اپنے گھر میں بیٹھے ہیں وہ لاکھوں من کے بیٹھے ہیں

غضب ہے قہر ہے شامت ہے آفت ہے قیامت ہے

بغل میں وہ عدو کے آج کیوں بن ٹھن کے بیٹھے ہیں

کہیں کیا مدعا اپنا سنائیں راز دل کیوں کر

ہمارے سامنے کچھ آدمی دشمن کے بیٹھے ہیں

مزہ کنج لحد میں کیوں نہ لوں میں ساغر مل کا

کہ بادہ خوار پاس آ کر مرے مدفن کے بیٹھے ہیں

خدا کے واسطے ان کو نکل کر جلوہ دکھلا دو

کہ خواہش مند کوچہ میں ترے چتون کے بیٹھے ہیں

ہیں پیاسے ہم تو مدت کے پلا دے جام مے ساقی

وہ جب چاہیں پئیں جو منتظر ساون کے بیٹھے ہیں

طبیعت ہو تو ایسی ہو جو عادت ہو تو ایسی ہو

ابھی وہ تن کے بیٹھے تھے ابھی وہ من کے بیٹھے ہیں

اگر رغبت نہ ہو اس دہر میں موذی کو موذی سے

تو کیوں خار مغیلاں پاؤں میں رہزن کے بیٹھے ہیں

نہیں معلوم کس کو تاڑتے ہیں کس سے وعدہ ہے

بہ وقت شام پاس آ کر جو وہ چلمن کے بیٹھے ہیں

نہیں پروا اگر اے مشرقیؔ ان کو بلا جانے

اگر وہ ہیں کھنچے بیٹھے تو ہم بھی تن کے بیٹھے ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

ilahi KHair ho wo aaj kyun kar tan ke baiThe hain
kisi ke qatl karne ko bhabhuka ban ke baiThe hain

subuk-sar hai wahi jo dusron ke ghar pe jata hai
jo apne ghar mein baiThe hain wo lakhon man ke baiThe hain

ghazab hai qahr hai shamat hai aafat hai qayamat hai
baghal mein wo adu ke aaj kyun ban-Than ke baiThe hain

kahen kya muddaa apna sunaen raaz-e-dil kyun kar
hamare samne kuchh aadmi dushman ke baiThe hain

maza kunj-e-lahad mein kyun na lun main saghar-e-mul ka
ki baada-KHwar pas aa kar mere madfan ke baiThe hain

KHuda ke waste un ko nikal kar jalwa dikhla do
ki KHwahish-mand kuche mein tere chitwan ke baiThe hain

hain pyase hum to muddat ke pila de jam-e-mai saqi
wo jab chahen piyen jo muntazir sawan ke baiThe hain

tabiat ho to aisi ho jo aadat ho to aisi ho
abhi wo tan ke baiThe the abhi wo man ke baiThe hain

agar raghbat na ho is dahr mein muzi ko muzi se
to kyun KHar-e-mughilan panw mein rahzan ke baiThe hain

nahin malum kis ko taDte hain kis se wada hai
ba-waqt-e-sham pas aa kar jo wo chilman ke baiThe hain

nahin parwa agar ai 'mashriqi' un ko bala jaane
agar wo hain khinche baiThe to hum bhi tan ke baiThe hain

(285) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain written by Sardar Genda Singh Mashriqi at UrduPoint. Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain is one of the masterpieces written by Sardar Genda Singh Mashriqi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Genda Singh Mashriqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Genda Singh Mashriqi' above.

Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ilahi KHair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke BaiThe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.