Aap Se Arz-e-haal Karte Hain, Urdu Ghazal By Sardar Khan Soz

Aap Se Arz-e-haal Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Khan Soz. Aap Se Arz-e-haal Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aap Se Arz-e-haal Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آپ سے عرض حال کرتے ہیں

سردار خان سوز

آپ سے عرض حال کرتے ہیں

واقعی ہم کمال کرتے ہیں

آئنہ دل کا ٹوٹ جاتا ہے

لاکھ ہم دیکھ بھال کرتے ہیں

اسی ظالم سے ہے امید وفا

اپنے دل سے سوال کرتے ہیں

آپ کے حرف تلخ بھی اکثر

زخم کا اندمال کرتے ہیں

ذکر ہوتا ہے جب حسینوں کا

پیش تیری مثال کرتے ہیں

ہم تو عادی ہیں غم اٹھانے کے

آپ یوں ہی خیال کرتے ہیں

تیرے انداز بے وفائی بھی

دور دل کا ملال کرتے ہیں

ان کی محفل میں جو گزارے تھے

یاد وہ ماہ و سال کرتے ہیں

ہم نے کی ہے نہ ہم کبھی اے سوزؔ

آرزوئے وصال کرتے ہیں

سردار خان سوز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aap Se Arz-e-haal Karte Hain

Sardar Khan Soz

aap se arz-e-haal karte hain
waqai hum kamal karte hain

aaina dil ka TuT jata hai
lakh hum dekh-bhaal karte hain

usi zalim se hai umid-e-wafa
apne dil se sawal karte hain

aap ke harf-e-talKH bhi aksar
zaKHm ka indimal karte hain

zikr hota hai jab hasinon ka
pesh teri misal karte hain

hum to aadi hain gham uThane ke
aap yunhi KHayal karte hain

tere andaz-e-bewafai bhi
dur dil ka malal karte hain

un ki mahfil mein jo guzare the
yaad wo mah-o-sal karte hain

hum ne ki hai na hum kabhi ai 'soz'
aarzu-e-visal karte hain

(436) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aap Se Arz-e-haal Karte Hain written by Sardar Khan Soz at UrduPoint. Aap Se Arz-e-haal Karte Hain is one of the masterpieces written by Sardar Khan Soz. You can also find the complete poetry collection of Sardar Khan Soz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Khan Soz' above.

Aap Se Arz-e-haal Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aap Se Arz-e-haal Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.