Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai, Urdu Ghazal By Sardar Khan Soz

Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Khan Soz. Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

در مے کدہ ہے کھلا ہوا سر چرخ آج گھٹا بھی ہے

سردار خان سوز

در مے کدہ ہے کھلا ہوا سر چرخ آج گھٹا بھی ہے

چلے دور ساقیٔ دل ربا کہ چمن میں رقص صبا بھی ہے

غم زندگی سہی جاں گسل مگر اس سے کوئی بچا بھی ہے

یہی غم ہے راز نشاط دل یہی زندگی کا مزا بھی ہے

یہی زخم دل جو نصیب ہے یہی سوز دل کا نقیب ہے

یہ مرے خلوص کا رنگ ہے کسی نازنیں کی عطا بھی ہے

ہے مری نگاہ میں صرف تو کسی اور کی نہیں جستجو

ترے التفات کی آرزو تری بے رخی کا گلا بھی ہے

مجھے کیا اڑائیں گے بال و پر کہ قفس میں عمر ہوئی بسر

میں رہا ہوا بھی کبھی اگر تو رہائی میری سزا بھی ہے

مری داستاں بھی عجیب ہے یہ کسی کسی کا نصیب ہے

کہیں ذکر باد سموم ہے کہیں ذکر موج صبا بھی ہے

نہ تو عضو جاہ پہ فخر کر کہ یہ زندگی تو ہے اک سفر

تجھے کیا خبر ارے بے خبر دبے پاؤں پیچھے قضا بھی ہے

جو بہار فصل شباب تھی وہ مثال ابر گزر گئی

نہیں زندگی میں کوئی خوشی کہ خلاف میرے ہوا بھی ہے

وہ بزعم حسن ہیں خود نگر تو مجھے بھی ناز ہے عشق پر

میں نیاز مند سہی مگر مجھے سوزؔ پاس انا بھی ہے

سردار خان سوز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai

Sardar Khan Soz

dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charKH aaj ghaTa bhi hai
chale daur-e-saqi-e-dilruba ki chaman mein raqs-e-saba bhi hai

gham-e-zindagi sahi jaan-gusil magar is se koi bacha bhi hai
yahi gham hai raaz-e-nashat-e-dil yahi zindagi ka maza bhi hai

yahi zaKHm-e-dil jo nasib hai yahi soz-e-dil ka naqib hai
ye mere KHulus ka rang hai kisi naznin ki ata bhi hai

hai meri nigah mein sirf tu kisi aur ki nahin justuju
tere iltifat ki aarzu teri be-ruKHi ka gila bhi hai

mujhe kya uDaenge baal-o-par ki qafas mein umr hui basar
main riha hua bhi kabhi agar to rihai meri saza bhi hai

meri dastan bhi ajib hai ye kisi kisi ka nasib hai
kahin zikr-e-baad-e-sumum hai kahin zikr-e-mauj-e-saba bhi hai

na tu uzw-e-jah pe faKHr kar ki ye zindagi to hai ek safar
tujhe kya KHabar are be-KHabar dabe panw pichhe qaza bhi hai

jo bahaar fasl-e-shabab thi wo misal-e-abr guzar gai
nahin zindagi mein koi KHushi ki KHilaf mere hawa bhi hai

wo ba-zoam-e-husn hain KHud-nigar to mujhe bhi naz hai ishq par
main niyaz-mand sahi magar mujhe 'soz' pas-e-ana bhi hai

(533) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai written by Sardar Khan Soz at UrduPoint. Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai is one of the masterpieces written by Sardar Khan Soz. You can also find the complete poetry collection of Sardar Khan Soz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Khan Soz' above.

Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dar-e-mai-kada Hai Khula Hua Sar-e-charKH Aaj GhaTa Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.