Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein, Urdu Ghazal By Sarfaraz Bazmi

Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfaraz Bazmi. Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوں جب سے ترے حلقۂ فیضان نظر میں

سرفراز بزمی

ہوں جب سے ترے حلقۂ فیضان نظر میں

دنیا سمٹ آئی ہے مرے دیدۂ تر میں

ہے قلزم ادراک کی موجوں میں تلاطم

اب چین میسر ہے سفر میں نہ حضر میں

کرتا ہے کوئی حرمت کعبہ کی قبا چاک

اک ساحرالموط کے جادو کے اثر میں

اے گنبد خضرا کے مکیں وقت دعا ہے

کعبے کے مصلے ہیں کلیسا کے اثر میں

اے میر عرب شوکت و سطوت کی ڈھلی شام

ہر لمحہ سفر برق و شرر خوف و خطر میں

گرداب کی موجوں سے صدف ہوتے ہیں سیراب

کچھ خیر کے پہلو بھی ہوا کرتے ہیں شر میں

رکھ شیشۂ دل گرد کدورت سے مصفا

مٹی کہیں رکھتا ہے کوئی کانچ کے گھر میں

اس شمع کی دنیا کو ضرورت ہے بہت آج

جو شیخ لیے بیٹھا ہے اللہ کے گھر میں

بزمیؔ تن خاکی کا تقدس نہیں مطلوب

ہے عظمت گوہر کی بنا آب گہر میں

سرفراز بزمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein

Sarfaraz Bazmi

hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein
duniya simaT aai hai mere dida-e-tar mein

hai qulzum-e-idrak ki maujon mein talatum
ab chain mayassar hai safar mein na hazar mein

karta hai koi hurmat-e-kaba ki qaba chaak
ek sahir-e-almut ke jadu ke asar mein

ai gumbad-e-KHazra ke makin waqt-e-dua hai
kabe ke musalle hain kalisa ke asar mein

ai mir-e-arab shaukat-o-satwat ki Dhali sham
har lamha safar barq-o-sharar KHauf-o-KHatar mein

girdab ki maujon se sadaf hote hain sairab
kuchh KHair ke pahlu bhi hua karte hain shar mein

rakh shisha-e-dil gard-e-kudurat se musaffa
miTTi kahin rakhta hai koi kanch ke ghar mein

is shama ki duniya ko zarurat hai bahut aaj
jo shaiKH liye baiTha hai allah ke ghar mein

'bazmi' tan-e-KHaki ka taqaddus nahin matlub
hai azmat-e-gauhar ki bina aab-e-guhar mein

(329) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein written by Sarfaraz Bazmi at UrduPoint. Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein is one of the masterpieces written by Sarfaraz Bazmi. You can also find the complete poetry collection of Sarfaraz Bazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfaraz Bazmi' above.

Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hun Jab Se Tere Halqa-e-faizan-e-nazar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.