Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya, Urdu Ghazal By Sarwar Alam Raz

Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarwar Alam Raz. Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب جب وہ سر طور تمنا نظر آیا

سرور عالم راز

جب جب وہ سر طور تمنا نظر آیا

میں کیسے کہوں وہ مجھے کیا کیا نظر آیا

ہستی کے در و بست کا مارا نظر آیا

ہر شخص تماشہ ہی تماشا نظر آیا

دیکھا جو زمانہ کو کبھی اچھی نظر سے

جو بھی نظر آیا ہمیں اچھا نظر آیا

کعبہ میں جو دیکھا وہی بت خانے میں پایا

جیسا وہ مرے دل میں تھا ویسا نظر آیا

کیا یہ بھی محبت کے تقاضوں میں ہے شامل

دریا میں نظر آیا تو صحرا نظر آیا

اوروں پہ بڑھے سنگ ملامت جو لیے ہم

ہر چہرے میں کیوں اپنا ہی چہرہ نظر آیا

ڈھونڈا ہی نہیں ہم نے تمہارا کوئی ہمسر

ہاں تم کہو تم کو کوئی ہم سا نظر آیا

یوں اور بہت عیب ہیں سرورؔ میں ولیکن

کم بخت محبت میں تو یکتا نظر آیا

سرور عالم راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya

Sarwar Alam Raz

jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya
main kaise kahun wo mujhe kya kya nazar aaya

hasti ke dar-o-bast ka mara nazar aaya
har shaKHs tamasha hi tamasha nazar aaya

dekha jo zamane ko kabhi achchhi nazar se
jo bhi nazar aaya hamein achchha nazar aaya

kabe mein jo dekha wahi but-KHane mein paya
jaisa wo mere dil mein tha waisa nazar aaya

kya ye bhi mohabbat ke taqazon mein hai shamil
dariya mein nazar aaya to sahra nazar aaya

auron pe baDhe sang-e-malamat jo liye hum
har chehre mein kyon apna hi chehra nazar aaya

DhunDa hi nahin hum ne tumhaara koi ham-sar
han tum kaho tum ko koi hum sa nazar aaya

yun aur bahut aib hain 'sarwar' mein wa-lekin
kam-baKHt mohabbat mein tu yakta nazar aaya

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya written by Sarwar Alam Raz at UrduPoint. Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya is one of the masterpieces written by Sarwar Alam Raz. You can also find the complete poetry collection of Sarwar Alam Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarwar Alam Raz' above.

Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Jab Wo Sar-e-tur-e-tamanna Nazar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.