Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur, Urdu Ghazal By Sarwar Alam Raz

Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarwar Alam Raz. Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب مٹ گئے مانگے ہے مگر تیری نظر اور

سرور عالم راز

سب مٹ گئے مانگے ہے مگر تیری نظر اور

اب لائیں کہاں سے بتا دل اور جگر اور

کم خاک غریبان محبت کو نہ جانو

اٹھیں گے اسی خاک سے کل خاک بہ سر اور

ہر ذرہ میں بس ایک ہی ذرہ نظر آئے

گر چشم تماشا کو ملے حسن نظر اور

کب بیٹھ سکے منزل ہستی کو پہنچ کر

آگے جو بڑا اس سے ہے وہ ایک سفر اور

دنیا میں محبت کی کمی ہے تو بلا سے

آباد محبت کریں آ شام و سحر اور

کیا تم کو تکلف ہے مری چارہ گری میں

اک تیر نظر تیر نظر تیر نظر اور

یہ کیا کہ فقط خار ہی قسمت میں لکھے ہیں

اے خانۂ بر انداز چمن کچھ تو ادھر اور

سرورؔ کی کٹی کس طرح آخر شب ہجراں

کچھ تو ہی بتا قصۂ غم دیدۂ تر اور

سرور عالم راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur

Sarwar Alam Raz

sab miT gae mange hai magar teri nazar aur
ab laen kahan se bata dil aur jigar aur

kam KHak ghariban-e-mohabbat ko na jaano
uTThenge isi KHak se kal KHak-ba-sar aur

har zarre mein bas ek hi zarra nazar aae
gar chashm-e-tamasha ko mile husn-e-nazar aur

kab baiTh sake manzil-e-hasti ko pahunch kar
aage jo baDa is se hai wo ek safar aur

duniya mein mohabbat ki kami hai to bala se
aabaad mohabbat karen aa sham-o-sahar aur

kya tum ko takalluf hai meri chaaragari mein
ek tir-e-nazar tir-e-nazar tir-e-nazar aur

ye kya ki faqat KHar hi qismat mein likhe hain
ai KHana-e-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar aur

'sarwar' ki kaTi kis tarah aaKHir shab-e-hijran
kuchh tu hi bata qissa-e-gham dida-e-tar aur

(504) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur written by Sarwar Alam Raz at UrduPoint. Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur is one of the masterpieces written by Sarwar Alam Raz. You can also find the complete poetry collection of Sarwar Alam Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarwar Alam Raz' above.

Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab MiT Gae Mange Hai Magar Teri Nazar Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.