Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat, Urdu Ghazal By Sarwar Alam Raz

Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarwar Alam Raz. Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمام دنیا میں ڈھونڈ آیا میں گم شدہ زندگی کی صورت

سرور عالم راز

تمام دنیا میں ڈھونڈ آیا میں گم شدہ زندگی کی صورت

ملی تو مجھ کو حیات مضطر مگر ملی اجنبی کی صورت

سبق ہے سیکھا ہم اہل دل نے یہ عجز کی سر بلندیوں سے

کہ ایک سجدہ ہے کافی لیکن ہو بندگی بندگی کی صورت

عجیب دستور عاشقی ہے نہ میں ہی میں ہوں نہ تم ہی تم ہو

نہ دوستی دوستی کی صورت نہ دشمنی دشمنی کی صورت

خبر تصور خیال ایماں گماں یقیں فکر علم حکمت

مقام خود آگہی کے آگے سواد کم آگہی کی صورت

برہنہ سر آبلہ گزیدہ شکستہ دل پیرہن دریدہ

مقام سدرہ پہ سوچ میں ہوں کوئی ہے پردہ دری کی صورت

ملا سر راہ خود سے جب میں عجیب ہی اپنا حال دیکھا

کسی کی آنکھیں کسی کا چہرہ نظر کسی کی کسی کی صورت

نہ پوچھ مجھ سے کہ میں کہاں ہوں مجھے تو کچھ بھی پتا نہیں ہے

کہ اپنی صورت میں آ رہی ہے نظر مجھے ہر کسی کی صورت

یہ سچ ہے دنیا میں اور ہوں گے جمیل و خوش رو حسین و دلبر

پسند آئی مگر ہمیں تو جناب من آپ کی ہی صورت

نہ جانے کب سے کھڑا تھا سرورؔ اک آستین امید تھامے

وہ نکلا خود سے ہی غیر حاضر ہوئی عجب حاضری کی صورت

سرور عالم راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat

Sarwar Alam Raz

tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat
mili to mujh ko hayat-e-muztar magar mili ajnabi ki surat

sabaq hai sikha hum ahl-e-dil ne ye ijz ki sar-bulandiyon se
ki ek sajda hai kafi lekin ho bandagi bandagi ki surat

ajib dastur-e-ashiqi hai na main hi main hun na tum hi tum ho
na dosti dosti ki surat na dushmani dushmani ki surat

KHabar tasawwur KHayal iman guman yaqin fikr ilm hikmat
maqam-e-KHud-agahi ke aage sawad-e-kam-agahi ki surat

barahna-sar aabla-gazida shikasta-dil pairahan-darida
maqam-e-sidra pe soch mein hun koi hai parda-dari ki surat

mila sar-e-rah KHud se jab main ajib hi apna haal dekha
kisi ki aankhen kisi ka chehra nazar kisi ki kisi ki surat

na puchh mujh se ki main kahan hun mujhe to kuchh bhi pata nahin hai
ki apni surat mein aa rahi hai nazar mujhe har kisi ki surat

ye sach hai duniya mein aur honge jamil-o-KHush-ru hasin-o-dilbar
pasand aai magar hamein to janab-e-man aap ki hi surat

na jaane kab se khaDa tha 'sarwar' ek aastin-e-umid thame
wo nikla KHud se hi ghair-hazir hui ajab haziri ki surat

(455) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat written by Sarwar Alam Raz at UrduPoint. Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat is one of the masterpieces written by Sarwar Alam Raz. You can also find the complete poetry collection of Sarwar Alam Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarwar Alam Raz' above.

Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-shuda Zindagi Ki Surat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.