Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai, Urdu Ghazal By Saulat Zaidi

Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saulat Zaidi. Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فکر نقاد ادب درہم و دینار میں ہے

صولت زیدی

فکر نقاد ادب درہم و دینار میں ہے

کون سی جنس سخن کوچہ و بازار میں ہے

گرمیٔ حسن مری گرمیٔ افکار میں ہے

وہ اگر مجھ میں نہیں ہے مرے اشعار میں ہے

پا بہ زنجیر مجھے لاکھ زمانہ سمجھے

مرے قدموں کی دھمک وقت کی رفتار میں ہے

رات قابو میں رہے شہر کے حالات مگر

لاش اک لپٹی ہوئی صبح کے اخبار میں ہے

کوئی آوارہ سا جھونکا کوئی باغی سا خیال

جس سے میں خوف زدہ ہوں مرے اشعار میں ہے

کل اسی گھر میں غزل اس نے سنائی ہوگی

جانی پہچانی سی خوشبو در و دیوار میں ہے

ساحل مصلحت وقت مجھے جانے دے

اس سفینے نے پکارا ہے جو مجھدھار میں ہے

وہ محبت کا مجاہد وہ مروت کا شہید

کل کا صولتؔ ابھی زندہ مرے افکار میں ہے

صولت زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai

Saulat Zaidi

fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai
kaun si jins-e-suKHan kucha-o-bazar mein hai

garmi-e-husn meri garmi-e-afkar mein hai
wo agar mujh mein nahin hai mere ashaar mein hai

pa-ba-zanjir mujhe lakh zamana samjhe
mere qadmon ki dhamak waqt ki raftar mein hai

raat qabu mein rahe shahr ke haalat magar
lash ek lipTi hui subh ke aKHbar mein hai

koi aawara sa jhonka koi baghi sa KHayal
jis se main KHauf-zada hun mere ashaar mein hai

kal isi ghar mein ghazal us ne sunai hogi
jaani-pahchani si KHushbu dar-o-diwar mein hai

sahil-e-maslahat-e-waqt mujhe jaane de
us safine ne pukara hai jo majdhaar mein hai

wo mohabbat ka mujahid wo murawwat ka shahid
kal ka 'saulat' abhi zinda mere afkar mein hai

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai written by Saulat Zaidi at UrduPoint. Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai is one of the masterpieces written by Saulat Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Saulat Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saulat Zaidi' above.

Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fikr-e-naqqad-e-adab Dirham-o-dinar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.