Aise Mein Teri Yaad Aati Hai, Urdu Nazam By Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi

Aise Mein Teri Yaad Aati Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi. Aise Mein Teri Yaad Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aise Mein Teri Yaad Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایسے میں تری یاد آتی ہے

سید محمود حسن قیصر امروہی

جب چاندنی کھلتی ہے ہر سو ہر ذرہ تاباں ہوتا ہے

جب چھوٹ سے ماہ و انجم کی دریا میں چراغاں ہوتا ہے

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

جب سورج جھکنے لگتا ہے اور چاند ستارے کھلتے ہیں

دن رات بہم جب ہوتے ہیں جب دونوں نظارے ملتے ہیں

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

انجم کے سہانے سائے میں جب رات کی دیوی سوتی ہے

جب سبزہ دامن بھرتا ہے اور شبنم مایہ کھوتی ہے

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

ہر ذرہ موج فضا میں جب فطرت کے راز اگلتا ہے

لب بند کلی کے سانچے میں جب پھول کا پیکر ڈھلتا ہے

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

جب دیکھ کے میخانے کا سماں رندوں کی نظر اتراتی ہے

جب دور میں ساغر ہوتا ہے جب رقص میں مینا آتی ہے

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

مجبور محبت کی دنیا جب آس کے بل پر جیتی ہے

امید کی اک معصوم جھلک جب چاک گریباں سیتی ہے

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

ساون کی وہ متوالی راتیں اور راتوں کی تنہائی توبہ

جب کالی گھٹائیں اٹھتی ہیں لیتی ہوئی انگڑائی توبہ

ایسے میں تری یاد آتی ہے

یاد آنے والے یہ تو بتا کیا میں بھی تجھے یاد آتا ہوں

سید محمود حسن قیصر امروہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aise Mein Teri Yaad Aati Hai

Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi

jab chandni khulti hai har-su har zarra taban hota hai
jab chhuT se mah-o-anjum ki dariya mein charaghan hota hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

jab suraj jhukne lagta hai aur chand sitare khulte hain
din raat baham jab hote hain jab donon nazare milte hain
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

anjum ke suhane sae mein jab raat ki dewi soti hai
jab sabza daman bharta hai aur shabnam maya khoti hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

har zarra mauj-e-faza mein jab fitrat ke raaz ugalta hai
lab band kali ke sanche mein jab phul ka paikar Dhalta hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

jab dekh ke maiKHane ka saman rindon ki nazar itraati hai
jab daur mein saghar hota hai jab raqs mein mina aati hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

majbur-e-mohabbat ki duniya jab aas ke bal par jiti hai
ummid ki ek masum jhalak jab chaak-e-gareban siti hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

sawan ki wo matwali raaten aur raaton ki tanhai tauba
jab kali ghaTaen uThti hain leti hui angDai tauba
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun

(279) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aise Mein Teri Yaad Aati Hai written by Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi at UrduPoint. Aise Mein Teri Yaad Aati Hai is one of the masterpieces written by Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi. You can also find the complete poetry collection of Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayad Mahmood Hasan Qaisar Amrohi' above.

Aise Mein Teri Yaad Aati Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Aise Mein Teri Yaad Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.