Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua, Urdu Ghazal By Sayed Mujeebul Hasan

Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Mujeebul Hasan. Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس سمت تو ماحول ہے پہلے سے ہی بگڑا ہوا

سید محمد مجیب الحسن

اس سمت تو ماحول ہے پہلے سے ہی بگڑا ہوا

اے آتشیں طوفان تیرا کیوں ادھر آنا ہوا

وعدہ تھا اس کا وہ نہ آیا ہاں مگر ایسا ہوا

اک پھول ساحل پر نظر آیا مجھے رکھا ہوا

کس نے قدم رکھے یہاں کس کا ادھر پھیرا ہوا

خوشبو سے کس کے جسم کی گھر ہے مرا مہکا ہوا

اک ابر کے ٹکڑے نے میرے سر پہ کھینچا سائباں

جب دھوپ کے سفاک صحرا سے گزر میرا ہوا

کانٹوں کی صورت پھول بھی پیتے ہیں اس جانب لہو

کوئی نہیں ہے ساتھ میرے یہ بہت اچھا ہوا

خالی پڑا ہے اک زمانے سے یہ گھر لیکن مجھے

محسوس ہوتا ہے دریچے میں کوئی بیٹھا ہوا

پانی کا اک قطرہ نہ تھا موجیں نہ تھیں ساحل نہ تھا

دیکھا ہے میں نے دشت میں دریا عجب بہتا ہوا

کل میرے کمرے میں کوئی تھا اور بھی میرے سوا

میں نے جو پوچھا کون ہے پر شور سناٹا ہوا

یہ دیکھتا میں آ رہا ہوں ایک مدت سے مجیبؔ

آواز جب میں نے لگائی بند دروازہ ہوا

سید محمد مجیب الحسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua

Sayed Mujeebul Hasan

is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua
ai aatishin tufan tera kyon idhar aana hua

wada tha us ka wo na aaya han magar aisa hua
ek phul sahil par nazar aaya mujhe rakkha hua

kis ne qadam rakkhe yahan kis ka idhar phera hua
KHushbu se kis ke jism ki ghar hai mera mahka hua

ek abr ke TukDe ne mere sar pe khincha saeban
jab dhup ke saffak sahra se guzar mera hua

kanTon ki surat phul bhi pite hain is jaanib lahu
koi nahin hai sath mere ye bahut achchha hua

KHali paDa hai ek zamane se ye ghar lekin mujhe
mahsus hota hai dariche mein koi baiTha hua

pani ka ek qatra na tha maujen na thin sahil na tha
dekha hai main ne dasht mein dariya ajab bahta hua

kal mere kamre mein koi tha aur bhi mere siwa
main ne jo puchha kaun hai pur-shor sannaTa hua

ye dekhta main aa raha hun ek muddat se 'mujib'
aawaz jab main ne lagai band darwaza hua

(405) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua written by Sayed Mujeebul Hasan at UrduPoint. Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua is one of the masterpieces written by Sayed Mujeebul Hasan. You can also find the complete poetry collection of Sayed Mujeebul Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Mujeebul Hasan' above.

Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Samt To Mahaul Hai Pahle Se Hi BigDa Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.