Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai, Urdu Ghazal By Sayed Mujeebul Hasan

Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayed Mujeebul Hasan. Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیسا دور یہ کیسی صدی ہے

سید محمد مجیب الحسن

یہ کیسا دور یہ کیسی صدی ہے

جدھر دیکھو ہجوم بے دلی ہے

بس اتنی سی ہماری زندگی ہے

سویرا آ گیا رات آ رہی ہے

وہی شب ہے وہی بارہ دری ہے

چلا آ تو کہ بس تیری کمی ہے

چراغوں نے نہ جانے کہہ دیا کیا

ہوا دہلیز پر ٹھہری ہوئی ہے

سحر دم قتل ہو جائے گا سورج

تبھی یہ رات بھی سہمی ہوئی ہے

چلو اس پیڑ کے نزدیک دیکھو

مہک سی کچھ لہو کی آ رہی ہے

ترے چہرے کی نزہت دیکھ لی کیا

شگفتہ کیوں چمن کی ہر کلی ہے

ابھی سیراب ہو جائیں گے ہم لوگ

وہ دیکھو سامنے بہتی ندی ہے

کوئی گھر چھوڑ کر ہے جانے والا

دریچے سے اداسی جھانکتی ہے

ستارے دم بخود ہیں چاند خاموش

سہانی رات رخصت ہو رہی ہے

جہاں چھڑتے تھے خوشیوں کے ترانے

مجیبؔ اس گھر پہ قابض خامشی ہے

سید محمد مجیب الحسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai

Sayed Mujeebul Hasan

ye kaisa daur ye kaisi sadi hai
jidhar dekho hujum-e-be-dili hai

bas itni si hamari zindagi hai
sawera aa gaya raat aa rahi hai

wahi shab hai wahi bara-dari hai
chala aa tu ki bas teri kami hai

charaghon ne na jaane kah diya kya
hawa dahliz par Thahri hui hai

sahar-dam qatl ho jaega suraj
tabhi ye raat bhi sahmi hui hai

chalo is peD ke nazdik dekho
mahak si kuchh lahu ki aa rahi hai

tere chehre ki nuzhat dekh li kya
shagufta kyon chaman ki har kali hai

abhi sairab ho jaenge hum log
wo dekho samne bahti nadi hai

koi ghar chhoD kar hai jaane wala
dariche se udasi jhankti hai

sitare dam-ba-KHud hain chand KHamosh
suhani raat ruKHsat ho rahi hai

jahan chhiDte the KHushiyon ke tarane
'mujib' us ghar pe qabiz KHamushi hai

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai written by Sayed Mujeebul Hasan at UrduPoint. Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai is one of the masterpieces written by Sayed Mujeebul Hasan. You can also find the complete poetry collection of Sayed Mujeebul Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayed Mujeebul Hasan' above.

Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kaisa Daur Ye Kaisi Sadi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.