Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya, Urdu Ghazal By Seema Fareedi

Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Seema Fareedi. Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تم ہو تصویر وفا میں نے کب انکار کیا

سیما فریدی

تم ہو تصویر وفا میں نے کب انکار کیا

مجھ سے ہوتی ہے خطا میں نے کب انکار کیا

ایسا ہوتا ہی نہیں بسمل حسرت کا لہو

یہ تو ہے رنگ حنا میں نے کب انکار کیا

ہر زمانے میں رہی اہل محبت کے لئے

ہاں یہی رسم جفا میں نے کب انکار کیا

خنجر ابروئے خم دار کی خاطر منظور

میرا حاضر ہے گلا میں نے کب انکار کیا

میں نے تشکیک سے پائی ہے یقیں کی منزل

تو ہے عالم کا خدا میں نے کب انکار کیا

جب جلانا تری عادت ہے تو اے برق تپاں

آ نشیمن بھی جلا میں نے کب انکار کیا

پارسائی کی سند کس کو ملے کیا معلوم

ساقیا جام اٹھا میں نے کب انکار کیا

اے خدا حشر میں ہر چوٹ کو تازہ کر دے

اور پروائی چلا میں نے کب انکار کیا

اس کی چوکھٹ پہ جھکایا ہے جبیں کو سیماؔ

وہ جزا دے کہ سزا میں نے کب انکار کیا

سیما فریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya

Seema Fareedi

tum ho taswir-e-wafa main ne kab inkar kiya
mujh se hoti hai KHata main ne kab inkar kiya

aisa hota hi nahin bismil-e-hasrat ka lahu
ye to hai rang-e-hina main ne kab inkar kiya

har zamane mein rahi ahl-e-mohabbat ke liye
han yahi rasm-e-jafa main ne kab inkar kiya

KHanjar-e-abru-e-KHamdar ki KHatir manzur
mera hazir hai gala main ne kab inkar kiya

main ne tashkik se pai hai yaqin ki manzil
tu hai aalam ka KHuda main ne kab inkar kiya

jab jalana teri aadat hai to ai barq-e-tapan
aa nasheman bhi jala main ne kab inkar kiya

parsai ki sanad kis ko mile kya malum
saqiya jam uTha main ne kab inkar kiya

ai KHuda hashr mein har choT ko taza kar de
aur purwai chala main ne kab inkar kiya

us ki chaukhaT pe jhukaya hai jabin ko 'sima'
wo jaza de ki saza main ne kab inkar kiya

(445) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya written by Seema Fareedi at UrduPoint. Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya is one of the masterpieces written by Seema Fareedi. You can also find the complete poetry collection of Seema Fareedi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seema Fareedi' above.

Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tum Ho Taswir-e-wafa Maine Kab Inkar Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.