Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj, Urdu Ghazal By Shabnam Naqvi

Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shabnam Naqvi. Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی منزل نہ راستا ہے آج

شبنم نقوی

کوئی منزل نہ راستا ہے آج

لمحہ لمحہ بھٹک رہا ہے آج

زندگی کی عجب ادا ہے آج

زندگی خود سے بھی خفا ہے آج

فاصلے اب کہاں ہیں دنیا میں

صرف اپنوں میں فاصلا ہے آج

دور اندیش کس قدر ہے وہ

غم فردا بھی دیکھتا ہے آج

صرف انساں کا لفظ زندہ ہے

ورنہ انسان مر گیا ہے آج

اب اسی کو خلوص کہتے ہیں

پاس جس کے کوئی ادا ہے آج

کون ہے جو حسین بن کے اٹھے

پھر وہی دشت کربلا ہے آج

شبنم نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj

Shabnam Naqvi

koi manzil na rasta hai aaj
lamha lamha bhaTak raha hai aaj

zindagi ki ajab ada hai aaj
zindagi KHud se bhi KHafa hai aaj

fasle ab kahan hain duniya mein
sirf apnon mein fasla hai aaj

dur-andesh kis qadar hai wo
gham-e-farda bhi dekhta hai aaj

sirf insan ka lafz zinda hai
warna insan mar gaya hai aaj

ab usi ko KHulus kahte hain
pas jis ke koi ada hai aaj

kaun hai jo husain ban ke uThe
phir wahi dasht-e-karbala hai aaj

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj written by Shabnam Naqvi at UrduPoint. Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj is one of the masterpieces written by Shabnam Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Shabnam Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shabnam Naqvi' above.

Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Manzil Na Rasta Hai Aaj, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.