Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک قافلہ ہے بن ترے ہمراہ سفر میں

شاہ نصیر

اک قافلہ ہے بن ترے ہمراہ سفر میں

اشک آنکھ میں ہے دل میں ہے داغ آہ جگر میں

آرام مجھے بن ترے اک پل نہیں گھر میں

جوں مردمک دیدہ ہوں دن رات سفر میں

پھرتا ہے وہ گل پوش مرے دیدۂ تر میں

ہے شعلۂ جوالہ کی تصویر بھنور میں

سوراخ یہاں صورت فوارہ ہیں سر میں

دکھلاؤں تماشا جو مجھے چھوڑ دے گھر میں

رشک آئے نہ کیوں مجھ کو کہ تو دیکھ زر و سیم

رکھتا ہے قدم پلۂ خورشید و قمر میں

میں ان در شہوار کے اشکوں سے ادھر آ

تولوں گا بٹھا کر تجھے حیران نظر میں

آ دیکھ نہ ہنس ہنس کے رلا مجھ کو ستم گر

اک نوح کا طوفاں ہے مرے دیدۂ تر میں

عکس لب پاں خوردہ سے دنداں ہیں ترے سرخ

یا آتش یاقوت ہے یہ آب گہر میں

باز آؤ شکار افگنی سے ہاتھ اٹھاؤ

بھالے کو میاں کس لیے رکھتے ہو کمر میں

رہتی ہے بہم زلف بنا گوش سے تیرے

کچھ فرق نہیں ہے سر مو شام و سحر میں

ہے اس میں رقم حال سیہ بختی عاشق

یہ نامہ کوئی باندھ دو اب زاغ کے پر میں

یہ بھی کوئی انصاف ہے اے خانہ خراب آہ

اوروں کو تو لے جائے ہے تو دن دیئے گھر میں

اور ہم جو ہیں سو دیکھنے کو بھی ترے ترسیں

دیوار میں رخنہ ہے نہ سوراخ ہے در میں

کس وجہ نصیرؔ اس لب شیریں پہ نہ ہو خال

ہوتا وطن مور تو ہے تنگ شکر میں

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein

Shah Naseer

ek qafila hai bin tere ham-rah safar mein
ashk aankh mein hai dil mein hai dagh aah jigar mein

aaram mujhe bin tere ek pal nahin ghar mein
jun mardumak-e-dida hun din raat safar mein

phirta hai wo gul-posh mere dida-e-tar mein
hai shoala-e-jawwala ki taswir bhanwar mein

suraKH yahan surat-e-fawwara hain sar mein
dikhlaun tamasha jo mujhe chhoD de ghar mein

rashk aae na kyun mujh ko ki tu dekh zar-o-sim
rakhta hai qadam palla-e-KHurshid-o-qamar mein

main in dur-e-shahwar ke ashkon se idhar aa
taulunga biTha kar tujhe hairan nazar mein

aa dekh na hans hans ke rula mujh ko sitamgar
ek nuh ka tufan hai mere dida-e-tar mein

aks-e-lab-e-pan-KHurda se dandan hain tere surKH
ya aatish-e-yaqut hai ye aab-e-guhar mein

baz aao shikar-afgani se hath uThao
bhaale ko miyan kis liye rakhte ho kamar mein

rahti hai baham zulf bana gosh se tere
kuchh farq nahin hai sar-e-mu sham-o-sahar mein

hai is mein raqam haal-e-siyah-baKHti-e-ashiq
ye nama koi bandh do ab zagh ke par mein

ye bhi koi insaf hai ai KHana-KHarab aah
auron ko to le jae hai tu din diye ghar mein

aur hum jo hain so dekhne ko bhi tere tarsen
diwar mein raKHna hai na suraKH hai dar mein

kis wajh 'nasir' us lab-e-shirin pe na ho KHal
hota watan-e-mor to hai tang shakar mein

(315) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein written by Shah Naseer at UrduPoint. Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Qafila Hai Bin Tere Ham-rah Safar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.