Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں ضعف سے جوں نقش قدم اٹھ نہیں سکتا

شاہ نصیر

میں ضعف سے جوں نقش قدم اٹھ نہیں سکتا

بیٹھا ہوں سر خاک پہ جم اٹھ نہیں سکتا

اے اشک رواں ساتھ لے اب آہ جگر کو

عاشق کہیں بے فوج و علم اٹھ نہیں سکتا

سقف فلک کہنہ میں کیا خاک لگاؤں

اے ضعف دل اس آہ کا تھم اٹھ نہیں سکتا

سر معرکۂ عشق میں آساں نہیں دینا

گاڑے ہے جہاں شمع قدم اٹھ نہیں سکتا

ہے جنبش مژگاں کا کسی کے جو تصور

دل سے خلش خار الم اٹھ نہیں سکتا

دل پر ہے مرے خیمہ ہر آبلہ اسناد

کیا کیجئے کہ یہ لشکر غم اٹھ نہیں سکتا

ہر جا متجلیٰ ہے وہ بر پردۂ غفلت

اے معتکف دیر و حرم اٹھ نہیں سکتا

یوں اشک زمیں پر ہیں کہ منزل کو پہنچ کر

جوں قافلۂ ملک عدم اٹھ نہیں سکتا

رو رو کے لکھا خط جو اسے میں نے تو بولا

اک حرف سر کاغذ نم اٹھ نہیں سکتا

ہر دم لب فوارہ سے جاری یہ سخن ہے

پانی نہ ذرا جس میں ہو دم اٹھ نہیں سکتا

میں اٹھ کے کدھر جاؤں ٹھکانا نہیں کوئی

میرا ترے کوچے سے قدم اٹھ نہیں سکتا

مہندی تو سراسر نہیں پاؤں میں لگی ہے

تو بہر عیادت جو صنم اٹھ نہیں سکتا

بیمار ترا صورت تصویر نہالی

بستر سے ترے سر کی قسم اٹھ نہیں سکتا

میں شاہ سوار آج ہوں میدان سخن میں

رستم کا مرے آگے قدم اٹھ نہیں سکتا

کیا نیزہ ہلاوے گا کوئی اب کہ کسی سے

یاں توسن رہوار قلم اٹھ نہیں سکتا

جوں غنچہ نصیرؔ اس بت گل رو کی جو ہے یاد

یاں سر ہو گریباں سے بہم اٹھ نہیں سکتا

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta

Shah Naseer

main zoaf se jun naqsh-e-qadam uTh nahin sakta
baiTha hun sar-e-KHak pe jam uTh nahin sakta

ai ashk-e-rawan sath le ab aah-e-jigar ko
aashiq kahin be-fauj-o-alam uTh nahin sakta

saqf-e-falak-e-kohna mein kya KHak lagaun
ai zoaf-e-dil is aah ka tham uTh nahin sakta

sar marka-e-ishq mein aasan nahin dena
gaDe hai jahan shama qadam uTh nahin sakta

hai jumbish-e-mizhgan ka kisi ke jo tasawwur
dil se KHalish-e-KHar-e-alam uTh nahin sakta

dil par hai mere KHema-e-har-abla asnad
kya kijiye ki ye lashkar-e-gham uTh nahin sakta

har ja mutajalla hai wo bar parda-e-ghaflat
ai moatakif-e-dair-o-haram uTh nahin sakta

yun ashk zamin par hain ki manzil ko pahunch kar
jun qafila-e-mulk-e-adam uTh nahin sakta

ro ro ke likha KHat jo use main ne to bola
ek harf sar-e-kaghaz-e-nam uTh nahin sakta

har dam lab-e-fawwara se jari ye suKHan hai
pani na zara jis mein ho dam uTh nahin sakta

main uTh ke kidhar jaun Thikana nahin koi
mera tere kuche se qadam uTh nahin sakta

mehndi to sarasar nahin panw mein lagi hai
tu bahr-ayaadat jo sanam uTh nahin sakta

bimar tera surat-e-taswir-e-nihaali
bistar se tere sar ki qasam uTh nahin sakta

main shah-sawar aaj hun maidan-e-suKHan mein
rustam ka mere aage qadam uTh nahin sakta

kya neza hilawega koi ab ki kisi se
yan tausan-e-rahwar-e-qalam uTh nahin sakta

jun ghuncha 'nasir' us but-e-gul-ru ki jo hai yaad
yan sar ho gareban se baham uTh nahin sakta

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta written by Shah Naseer at UrduPoint. Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Zoaf Se Jun Naqsh-e-qadam UTh Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.