Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یارو نہیں اتنا مجھے قاتل نے ستایا

شاہ نصیر

یارو نہیں اتنا مجھے قاتل نے ستایا

جتنا کہ مرے دشمن جاں دل نے ستایا

کچھ سرزنش کار کا شاکی وہ نہیں ہے

مجنوں کو تو ہے صاحب محمل نے ستایا

غنچہ کہوں یا درج گہر تیرے دہن کو

کھلنا نہیں اس عقدۂ مشکل نے ستایا

آرام سے سویا نہ کمر کا تری کشتہ

مرقد میں بھی موران تہہ گل نے ستایا

اس کا مجھے شب یاد دلایا رخ پر نور

شکل اپنی دکھا کر مہ کامل نے ستایا

میرا دل سودا زدہ کرتا نہ کبھی غل

اس کاکل پیچاں کے سلاسل نے ستایا

افیوں کی کسی روز میں کھا جاؤں گا گولی

بے وجہ رخ یار کے گر تل نے ستایا

جب بوسہ میں مانگوں ہوں تو کیا کہتے ہو منہ پھیر

ایسا تو کسی بھی نہیں سائل نے ستایا

ہر جا متجلی ہے وہ بے پردہ ولیکن

غفلت کے مجھے پردۂ حائل نے ستایا

تھا ایک تو صیاد گرفتار قفس میں

اور دوسرے آواز عنادل نے ستایا

اے ہم سفراں پیش روی کی نہیں طاقت

کیا کیجے ہمیں دورئ منزل نے ستایا

پہلو میں نصیرؔ آہ نہیں ہے دل مضطر

اس شعر غم آلودۂ بے دل نے ستایا

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya

Shah Naseer

yaro nahin itna mujhe qatil ne sataya
jitna ki mare dushman-e-jaan dil ne sataya

kuchh sarzanish-e-kar ka shaki wo nahin hai
majnun ko to hai sahib-e-mahmil ne sataya

ghuncha kahun ya durj-e-guhar tere dahan ko
khulna nahin is uqda-e-mushkil ne sataya

aaram se soya na kamar ka teri kushta
marqad mein bhi muran-e-tah-e-gil ne sataya

us ka mujhe shab yaad dilaya ruKH-e-pur-nur
shakl apni dikha kar mah-e-kaamil ne sataya

mera dil-e-sauda-zada karta na kabhi ghul
is kakul-e-pechan ke salasil ne sataya

afyun ki kisi roz main kha jaunga goli
be-wajah ruKH-e-yar ke gar til ne sataya

jab bosa main mangun hun to kya kahte ho munh pher
aisa to kisi bhi nahin sail ne sataya

har ja mutajalli hai wo be-parda wa-lekin
ghaflat ke mujhe parda-e-hail ne sataya

tha ek to sayyaad giraftar qafas mein
aur dusre aawaz-e-anadil ne sataya

ai ham-safaran pesh-rawi ki nahin taqat
kya kije hamein duri-e-manzil ne sataya

pahlu mein 'nasir' aah nahin hai dil-e-muztar
is sher-e-gham-aluda-e-be-dil ne sataya

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya written by Shah Naseer at UrduPoint. Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yaro Nahin Itna Mujhe Qatil Ne Sataya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.