Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai, Urdu Ghazal By Shaheen Zaidi

Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaheen Zaidi. Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر نے زاویہ گم کر دیا ہے

شاہین زیدی

نظر نے زاویہ گم کر دیا ہے

خود اپنا آئنہ گم کر دیا ہے

اچانک ایک تنکے نے لپک کر

بھنور کا دائرہ گم کر دیا ہے

ورق لہجہ بدلتے ہی کسی نے

جمال واقعہ گم کر دیا ہے

پرندے اڑ گئے سارے شجر سے

زمیں نے ذائقہ گم کر دیا ہے

نمود ذات پر اترا رہا تھا

ہوا نے بلبلہ گم کر دیا ہے

فقط آنسو بہانا ہے مقدر

پیام سانحہ گم کر دیا ہے

لبوں کی بے سبب جنبش نے شاہیںؔ

حقیقی حادثہ گم کر دیا ہے

شاہین زیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai

Shaheen Zaidi

nazar ne zawiya gum kar diya hai
KHud apna aaina gum kar diya hai

achanak ek tinke ne lapak kar
bhanwar ka daera gum kar diya hai

waraq lahja badalte hi kisi ne
jamal-e-waqia gum kar diya hai

parinde uD gae sare shajar se
zamin ne zaiqa gum kar diya hai

numud-e-zat par itra raha tha
hawa ne bulbula gum kar diya hai

faqat aansu bahana hai muqaddar
payam-e-saneha gum kar diya hai

labon ki be-sabab jumbish ne 'shahin'
haqiqi hadisa gum kar diya hai

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai written by Shaheen Zaidi at UrduPoint. Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai is one of the masterpieces written by Shaheen Zaidi. You can also find the complete poetry collection of Shaheen Zaidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheen Zaidi' above.

Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Ne Zawiya Gum Kar Diya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.