KHud-ehtisabi Ki Ek Sham, Urdu Nazam By Shahid Jameel

KHud-ehtisabi Ki Ek Sham is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shahid Jameel. KHud-ehtisabi Ki Ek Sham comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read KHud-ehtisabi Ki Ek Sham on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود احتسابی کی ایک شام

شاہد جمیل

خدایا

مجھے کیا ہوا ہے

ہوا کیا ہے آخر مجھے

یہ کن وحشتوں میں شب و روز جینا مرا ہو رہا ہے

مرے قہقہوں میں یہ کیسی اداسی مجھے ڈس رہی ہے

مری محفلوں میں یہ کس سونے پن کی صدا چیختی ہے

مرے دوستوں میں یہ کس دشمنی کی ہواؤں کے جھکڑ مجھے کھینچ کر

منظر عام پر لا رہے ہیں

مرے دشمنوں میں مری کون سی بد نصیبی کا چرچا ہوا ہے

اقارب مرے جو مری دوریوں میں بھی میری قرابت کا سکھ ڈھونڈتے تھے

وہ خاموش ہیں

دور اور دور ہوتے چلے جا رہے ہیں

خدایا مجھے کیا ہوا ہے

اگر میرا چہرہ بدلنے لگا ہے

اگر میری پہچان کھونے لگی ہے

اگر میری آواز الگ ہو گئی ہے

اگر میری پرچھائیں میرے بدن سے ہی ٹکرا رہی ہے

مرے خواب زاروں کا دریا

اگر میری وحشت کی گلیوں میں رسوائیوں کی

خذف رولتا ہے

اگر میں وہی ہوں

کہ جو میں نہیں ہوں

اگر سچ یہی ہے خدایا

تو بس اتنا کر دے

مری دھند آنکھوں میں میرے لئے بھی کوئی عکس بھر دے

دعا کے لئے جب مرے ہاتھ اٹھیں

تو میری ہتھیلی کو آئینہ کر دے

شاہد جمیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud-ehtisabi Ki Ek Sham

Shahid Jameel

KHudaya
mujhe kya hua hai
hua kya hai aaKHir mujhe
ye kin wahshaton mein shab-o-roz jina mera ho raha hai
mere qahqahon mein ye kaisi udasi mujhe Das rahi hai
meri mahfilon mein ye kis sune-pan ki sada chiKHti hai
mere doston mein ye kis dushmani ki hawaon ke jhakkaD mujhe khinch kar
manzar-e-am par la rahe hain
mere dushmanon mein meri kaun si bad-nasibi ka charcha hua hai
aqarib mere jo meri duriyon mein bhi meri qarabat ka sukh DhunDte the
wo KHamosh hain
dur aur dur hote chale ja rahe hain
KHudaya mujhe kya hua hai
agar mera chehra badalne laga hai
agar meri pahchan khone lagi hai
agar meri aawaz alag ho gai hai
agar meri parchhain mere badan se hi Takra rahi hai
mere KHwab-zaron ka dariya
agar meri wahshat ki galiyon mein ruswaiyon ki
KHazaf rolta hai
agar main wahi hun
ki jo main nahin hun
agar sach yahi hai KHudaya
to bas itna kar de
meri dhund aankhon mein mere liye bhi koi aks bhar de
dua ke liye jab mere hath uTThen
to meri hatheli ko aaina kar de

(602) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud-ehtisabi Ki Ek Sham written by Shahid Jameel at UrduPoint. KHud-ehtisabi Ki Ek Sham is one of the masterpieces written by Shahid Jameel. You can also find the complete poetry collection of Shahid Jameel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahid Jameel' above.

KHud-ehtisabi Ki Ek Sham is a widely read Urdu Nazam. If you like KHud-ehtisabi Ki Ek Sham, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.